Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Hawaon Main Bikhar Jayega
Wo To Khushbu Hai Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phul Ka Hai Phul Kidhar Jayega
Ham To Samjhe The K Ek Zakhm Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi K Rag-e-jan Main Utar Jayega
Wo Hawaon Ki Tarah Khanabajan Phirta Hai
Ek Jhonka Hai Jo Ayega Guzar Jayega
Wo Jab Ayega To Phir Us Ki Rafaqat K Liye
Mausam-e-gul Mere Angan Main Thahar Jayega
Akhir Wo Bhi Kahin Ret Pe Baithi Hogi
Tera Ye Pyar Bhi Dariya Hai Utar Jayega.
By:
Aftab Khan
Send To Mobile
-
Nigahon main utarti hai kisi mahtaab ki
Nigahon main utarti hai kisi mahtaab ki surat
Sitaaray aarzu k is terhaan say jagmagatay hain
K pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
Mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
Tou shaakhain jaag uthti hain
Thakay haaray sitaray jab zamin say bat kartay hain
Tu kab ki muntizar aankhon main........shammain jaag uthti hain
Mohabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki surat
Mohabbat aag ki surat.....
By:
musarat
Send To Mobile
-
Kahi chhat thi deewaro dar the kahi
Kahi chhat thi deewaro dar the kahi,
mila mujhko pata der se,
diya to bahut zindgi ne mujhe,
magar jo diya wo diya der se,
hua na koi kaam mamul se,
gujare shab roz kuch is tarah,
kabhi chand chamka galat waqt pe,
kabhi ghar me suraj uga der se,
kahi ruk gaya raah me besabab,
kahi waqt se pahle ghir aayi shab,
hue band darwaje khul khul ke sab,
jaha bhi gaya mai gaya der se,
ye sab ittafaqat ka khel hai,
yahi hai judai yahi mail hai,
mai mud mud ke dekha kiya dur tak,
bani wo khamosi sada der se,
saza din bhi roshan hui raat bhi,
bhare jaam lahrai barsaat bhi,
rahe sath kuch aise halat bhi,
jo hona tha jaldi wo hua der se,
bhatkti rahi yu hi bandgi,
mili na kahi se koi roshni,
chhupa tha bhid me kahi aadmi,
hua mujhe pyar ka ehsaas der se.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay
Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay
Yaad aaye ga Mera Pyaar to Kya Karo gay
.
Satatey ho aise jaise Ajnabi hoon Main
Jab Roothe ga Tum se Yaar to Kya Karo gay
.
Apnao gay kisi aur ko mujhe tanha chor kar
Usey hoga na tum se Pyaar to Kya Karo gay
.
Aakhir Laut aao gye Tum Meri Raahon pe
Phir milega na pehla Pyaar to Kya Karo gay
.
Abhi to Hanste ho Meri Wafa’on pe ‘MOHSIN’
Yaar phir Rona bhi hoga Bekaar to Kya Karo gay
By:
musarat
Send To Mobile
-
Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai
Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai
Hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte hai
.
Banaye thy tamsha zindagi ko es tarh
Ke un mherbaano ka elaaj dhondhte hai
.
Koi en andhero main meri dil ki shmma jala de
Hum apni badnasibi ka raaz dhnodhte hai
.
Hasrat ka aayina ye pather dil se toot gaya
Sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai
.
Maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya
Dil ko bhlane ke liye koi haseen khaab dhondhte hai
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: