Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS

Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers. This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.

Latest Urdu Poetry SMS:

  • Kaha usne bharosa dil pe itna nai karte
    Kaha usne bharosa dil pe itna nai karte
    Kaha meine mohabbat mein kabhi socha nai karte
    Kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
    Kaha meine jab tum ho to ham kuch dekha nai karte
    kaha usne main tum se door hun lakin tumhara hun!
    kaha maine k sapne dil ko behlaya nai karte
    kaha usne teri chahat tujhe ruswaiyan de gi
    kaha maine shohrat se ghabraya nai karte,
    Kaha us ne samajh jao,samajh jao aye mere dost,
    Kaha main ne,deewane ko samjhaya nai karte!


  By: musarat   Send To Mobile
  • meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna
    meri kabar pe aake tum awaaz nahi karna
    dard ki nayii daastan ka aagaaz nahi karna…

    apni bebassi ko khud hii byaan karega ye
    chehre ko kisi aaine ka mohthaaz nahi karna…

    raaz Jo khud se hii na chhipaa paao tum
    aise raaz mein kisi ko hamraaz nahi karna…

    namumkin hai haqikat ke aasman mein urnaa
    khaabon ke sahare isme parwaaz nahi karna…

    zakham phir zakham hai.N ik roz bhar jaynge
    husan wallon ko inke charasaaz nahi karna…
    khaakh se bane ho khaakh mein mil jaaoge
    kabhi bhoole se bhi khud pe naaz nahi karna..


  By: musarat   Send To Mobile
  • Is Raat Ki Tanhayeeon K
    Is Raat Ki Tanhayeeon K
    Sab Rang Badal Gaye Hain
    Chand Nikla Hai Waisay He
    Andharay Badal Gaye Hain
    Jin K Bharosay Theen Khushian
    Woh Badal Thahar Gaye Hain
    Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain
    Kuch Rastay Badal Gaye Hain

    Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay
    Woh Dost Bichar Gaye Hain
    Dekhay Thay Jo Hum Nay
    Woh Khuwab Badal Gay Hain

    Jo Banay Thay Kabhi Humsafar
    Aaj Woh He Mukar Gaye Hain
    Iss Tutay Huay Dil K Saray
    Jazbaat Badal Gaye Hain
    Na Badla Kabhi faize
    Na Badley uss Ke Khayal
    Bas Rona Hai Yehi
    Kuch Log Badal Gayee Hain


  By: musarat   Send To Mobile
  • Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye
    Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
    main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta..
    Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
    main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..
    Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhe?
    main kehta hon.. muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti..
    Woh kehti hai k janaa! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
    main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai..
    Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
    main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi..
    Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?


  By: musarat   Send To Mobile
  • tum say chahat to na thee
    tum say chahat to na thee
    tum bin rahat to na thee
    aik pal ki b muskurahat b na thee
    jab tum hamaray pass na thee


  By: musarat   Send To Mobile
  • Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi
    Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
    Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
    Tumhare khel ko me samaj na saka,
    Tumko bewafa kehne ka kabil na raha


  By: musarat   Send To Mobile
  • kbi moam ban k pigal gaya
    kbi moam ban k pigal gaya,
    kabi girtay girtay sambhal gay
    wo ban k lamha guzar gaya
    meray paas se nikal gaya
    usay rota b to kis tarah
    k wo shakhs itna ajeeb tha
    kabi tarap uta meri aah se
    kabi ashk se na pighal saka
    sar e rah mila wo aga kabi
    to nazar chuka k Guzar Gaya
    wo utar Gaya meri ankh se
    mere dil se Q na utar saka
    wo chala Gaya jahan Chor k
    main wahan se phir na palat saka,
    wo sambhal Gaya tha magar,
    main bikhar k phir na simat saka


  By: musarat   Send To Mobile
  • Har kisi se apna na dard kaha kar
    Har kisi se apna na dard kaha kar.
    Aadab-e-mohabt ka kuch pas rakha kar.
    Zruri nahi her shakhs ho gham bantny wala.
    Hmdard or hamraz me kuch farq rakha kar.


  By: musarat   Send To Mobile
  • Main Yeh Soch Kar Us K
    Main Yeh Soch Kar Us kay Dar Say Chala the,
    Kay wo Rok lay gi mana lay gi mujh ko,
    Hawaon Main Lahrata ata tha Daman,
    Kay Daman Pakar Kay Bitha lay gi mujh ko,
    Qadam Aisay Zindagi Main Uth Rahay thay,
    Kay Awaz Day kay Bula lay gi mujh ko,
    Magar us nay na Roka na Mujh ko Manaya,
    Na hi Awaz di na Wapis Bulaya,
    MAin Ahista Ahista Chalta hi Aya,
    Yahan Tak us Say Juda ho Gaya Main


  By: musarat   Send To Mobile
  • Sadak ke kinare ek ped sahare khadee hai
    Sadak ke kinare ek ped sahare khadee hai
    aakho me inzaar hai kiska ye kuch pata nahi hai
    bas ek yahee kam hai iska jo roz wo kar rahee hai
    kabhee inzaarkartee hai or lot jatee hai mayoos hokar
    kabhee kush ho jatee hai kisi ka pal bhar ka saath paakar
    kuch pal kaa saath dene wale bhoot mil jate hai
    keemat oos pal kee chukate hai or chale jate hai
    sare bazar kothe pe baitha diya hai jise bikne ke liye
    hazaro tayar kai kurban hone ko par sirf kuch pal ke liye
    n koi apnata hai isko n ghar kee ronak banta hai
    kharid kar fir chorh diya jata hai fir dubara bikne ke liye


  By: musarat   Send To Mobile
Urdu Poetry SMS By Page: << 225226227228229230 231232233234235 >>

Submit Your Comments: