Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS

Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers. This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.

Latest Urdu Poetry SMS:

  • choTa sa ik lafz tumhaara
    choTa sa ik lafz tumhaara
    kitna peyaara lagta hai
    dil meN khushiyoN ke najaane
    kitne phhool khilaata hai
    phheeke se be.kaif se din meN
    shokhi ke rang sajaata hai
    jab eid ke din ik card mile
    uss par hoN surkh gulaab bane
    jis ke andar sab se neeche
    likhne waale ne likha ho
    tum ko dil se chaahne waala
    sirf tumhaara
    tab
    choTa sa ik lafz tumhaara
    kitna peyaara lagta hai..


  By: musarat   Send To Mobile


  By: musarat   Send To Mobile
  • Vo bhi kya log the asan thi rahen jin ki
    Vo bhi kya log the asan thi rahen jin ki
    Band aaNkhen kiye ik simt chale jate the
    Aql-o-dil Khuwab-o-haqiqat ki na uljhan na Khalish
    MuKhtalif jalve nigahon ko na behlati the
    Saahil-o-bahr ke aa_in na badalate the kabhii
    Na Khudaon pe bharosa tha muqaddar pe yaqin
    Chadar-e-aab se tufan na ubalate the kabhi

    Ham ke tufanon ke paale bhi sataye bhi hain
    Barq-o-baraN me vohe shamen jalayen kaise
    Ye jo aatish_kadaa duniya me bharak uTha hai
    AaNsuon se use har baar bujhaen kaise

    Kar diya barq-o-buKharaat ne mahashar barpa
    Apane daftar men litafat ke siva kuch bhi nahi
    Ghir gaye Waqt ki beraham kashakash men magar
    Pas tahazib ki daulat ke siva kuch bhi nahi

    Ye andhera ye talatum ye havaon ka Kharosh
    Is ma taron ki subuk narm ziya kya karati


  By: musarat   Send To Mobile
  • Phool se pehle khusboo ko to dekho
    Phool se pehle khusboo ko to dekho,

    karne se pehle kaam ko to dekho.

    kisike roop mein diwana naa bano,

    surat se pehle uske dil ko to dekho.


  By: musarat   Send To Mobile
  • majburiya hamari wo jaan na sake
    majburiya hamari wo jaan na sake
    farmano ko hamare wo maan na sake
    kehte he wo hame mar kar bhi chahenge
    jite ji hame jo pehchan na sake
    nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune
    hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka
    bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak
    sabab bhi poochne na aaya mere rone ka


  By: musarat   Send To Mobile
  • Mitti ka jism leke pani ke ghar me hu
    Mitti ka jism leke pani ke ghar me hu,

    Manzil hai maut meri har pal safar me hu.

    Hona hai qatl ye malum hai mujhe,

    Lekin khabar nahi kis-kis ki nazar me hu.


  By: musarat   Send To Mobile
  • Tumhari In Siyah Aankhoun Main
    Tumhari In Siyah Aankhoun Main
    Meri Zindagi Ki Shama Jalti Hai
    Jab Tum Kareeb Se
    Meri Taraf Deakhtay Ho
    To
    Meri Zindagi Se Saansay Aur Barh Jati Hain
    Aur Jab
    Tum Musuratay Ho
    To
    Tumhari Is Muskurahat Se
    Mera Dil Aur Zor Se Dharakta Hai
    Aur Main Yeh Dua Mangti Hoon
    Kaash!
    KHUDA Karay
    Tumhari Aankhoun Ki
    Aur Hountoo Ki Muskurahat
    Sada Youn Hi Qaim Rahay


  By: musarat   Send To Mobile
  • Ankhon Mein Namee
    Ankhon Mein Namee, Hansi Labon Par
    Kya Haal Hai, Kya Dikhaa Rahay Hoo
    Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
    Yeh Asshq Joo Peete Ja Rahe Ho


  By: musarat   Send To Mobile
  • Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta
    Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
    Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan

    Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
    Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan

    Aankhon Se Aanso�on K Marasim Poorane Hain
    Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan


  By: musarat   Send To Mobile
  • Yeh Aankhen Bohat Satati Hain
    Yeh Aankhen Bohat Satati Hain
    Yaadon Ke Khuwaab Dikhati Hain
    Mujhe Saari Raat Jagati Hain
    Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain
    Palkon Ke Dareeche Kholti Hain
    Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain
    Bas Apni Baat Manwati Hain
    YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
    Ek Aan Main Faisla Karti Hain
    Yeh Kab Ruswayi Se Darrti Hain
    Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
    Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain
    Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain
    Thak Haar Ke Wapis Aati Hain
    YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN


  By: musarat   Send To Mobile
Urdu Poetry SMS By Page: << 222223224225226227 228229230231232 >>

Submit Your Comments: