Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Jisay Dekho Wo Lar K
Jisay Dekho Wo Lar K ja rahee thee,
Sath hee ek hath jar k ja rahi thee
Khuttaa ye thee k main gali main khara tha,
Aur meri aankh pharkay ja rahee thee.
By:
Khan
Send To Mobile
-
Buhat Si CDs Aur Cassetes
Buhat Si Kitabein
Buhat Si CDs Aur Cassetes
Buhat Si Betuki Oppointments
Doston se Phone Par Lambi Taweel Guftagu
Yah Phir Uljhi Rahon Par Chalte
Yonhi Waqt Bitana
Be Simat Raston Par Bewajah Khaak Urana
Yah Phir Net Ke Uljhawon Mein
Be Tarah Khud Ko Uljhana
Baat Be Baat Hansne Ke Bahanay
Buhat Hain Khush
Duniya Ko Dikhane Ko
Kitne Bahane Dhoondta Hai Dil
Faqat Usse Bhoolane Ko..........!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Tumhare Gam Ka Mausam Hai
Tumhare Gam Ka Mausam Hai Abhi Tak,
Lab-E-Tashnaa Pe Shabnam Hai Abhi Tak,
Safar Mein Aable Hi Aable The,
Magar Pairon Mein Dam-Kham Hai Abhi Tak,
Tumhare Band Dar Mujhse Khafa Hai,
Mere Jeene Ka Matam Hai Abhi Tak,
Teri Aab-O-Hawa Raas Aa Gayi Thi,
Bichhad Jaane Ka Kuch Gam Hai Abhi Tak,
Gayi Rutt Mein Hui Thi Fasal Achhi,
Idhar Paani Gira Kam Hai Abhi Tak,
Main Khud Ko Dhundta Phirta Hoon Sab Mein,
Junoon Ka Ek Aalam Hai Abhi Tak...
By:
musarat
Send To Mobile
-
Dost Ban Kar Bhi Nahin
Dost Ban Kar Bhi Nahin saath nibhaaney wala
Wohi andaz hai zaalim ka zamaaney wala
Ab usey log samajhtey hain giraftar mera
Sakht naadim hai mujhey daam main laaney wala
Kya Khabar thi jo meri jaan main ghula hai itna
Hai wohi mujh ko sardar bhi laaney wala
Tere hotey huey aa jati thi saari dynya
Aaj tanha hu to koi nahin aaney wala
Kya kahen kitney marasim they hamarey us se
Wo jo ik shakhs hai munh phaer kar jaaney wala
By:
musarat
Send To Mobile
-
Dard Kya Chez Hai Or Dard
Dard Kya Chez Hai Or Dard Ki Lazzat Kya Hai,
Ahl-e-Dil Se Koi Poche K Mohabbat Kya Hai.
Dil Me Hain Ghuncha-o-Gul Aankh Se Hain Ashk Rawan,
Koi Badlaye K Yeh Rang-e-Tabiyat Kya Hai.
Ek Aansu Jo Teri Yaad Me Palkon Se Gira,
Kon Jane K Us Aansu Ki Haqeeqat Kya Hai.
Tu Ne Bakhsha Hai Mujhe Gham Jo Mere Dil k Ewaz,
Is Se Barh Kar Mere Pas Or Koi Dolat Kya Hai.
Keh Rahi Hain Meri Mayus Nigahen Kya Kya,
Koi Aye Kash Samajhta Meri Hasrat Kya Hai.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Har Roz Bhula Dete Ho
Har Roz Bhula Dete Ho Kamal Kerty Ho
Hanstey Ko Rula Dete Ho Kamal Kerty Ho
Nahi Hy Mohabbat Tou Saaf Keh Do
Kyun Umeed Badha Dete Ho Kamal Kerty Ho
Hum Tumhei'n Bhuulne Lagty Hyn Jab Bhi
Aa k Pyaar Jata Dete Ho Kamal Kerty Ho
Jante Bhi Ho k Ek Hi Dia Hy Mere Ghar Mein
Phir Bhi Hawa Dete Ho Kamal Kerty Ho
Bhoolne Ka Jo Mujhy Har Roz kehty Ho
Yun Yaad dila Dete Ho Kamal Kerty Ho
Khud Hi Khety Ho k Nasha Haram Hy
Aur Jaam Bhi Thama Dete Ho Kamal Kerty Ho.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Wo Apni Mohabbat
Wo Apni Mohabbat
ka alam sunaty rahe
Aur hum dheere dheere
hosh mein aaty rahe
Wo aane wale daur ki
Baatei'n batate rahy
Hum puraani yaado'n
Se apna jee behlaty rahe
Honto'n par kisi aur ka
Naam le ker wo apni aarzu jataty rahe
Hum kbhi un ko tou kbhi
Apne dil ko samjhaty rahe
Wo khud ko kisi aur ki
Amanat batate rahe
Aur hum apna sab kuch
Lutatey rahe
Wo itna muskuraye k
Unki aankho'n se aansu beh gaye =(
Humari aankho'n se Aansu behty rahy ='(
Aur hum muskurate rahe.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Nazar Jab Us Se Milti The
(Parveen Shakir)
Nazar Jab Us Se Milti The..
Me Khud Ko Bhool Jati Thi..
Bas Ek Dharrkan Dharrakti The..
Me Khud Ko Bhool Jati Thi
Ussay Milney Se Pehley,
Me Boht Sajti Sanwrti
Thi
Magar Jab Wo Sanwarta Tha
Me Khud Ko Bhool Jati Thi
Me Aksar Kitabon Pe.
Us Ka Naam Likhti Thi.
Magr Kuch Wo Jo Likhta Tha
Me Khud Ko Bhool Jati Thi
Me Aksar Ye Hi Kehti
Thi
Me Tum Se Pyar Karti Hon
Magar Jab Wo Ye Kehta Tha
Me Dunya Bhool Jati Thi...
By:
AsiM
Send To Mobile
Submit Your Comments: