Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Itni Shiddat Nahi Dekhi
Ashk-e-sawan Mei Itni Shiddat Nahi Dekhi..
Pehle kabi dil ki Ye haalat nahi Dekhi..
Hr shakhs ki Ankhon mei Lahoo dekha hai..
Tere shehr k Logon mei Muhabat nahi Dekhi..
Tu kinary ka Shajar hay Talatum se Be-khabar hai..
Tune kabi Lehron ki Baghawat nahi Dekhi..
Aik muddat se ye Aankhein Soi nahi MOHSIN,
Aik arsy se yaar ki Soorat nahi Dekhi.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Man Me Hi Chup Chaap Phira Kartay Thay
Aankhon Main Pyaas Hua Karti Thi
Dil Main Tufan Utha Kartay Thay
Sach Samajhte Thay Teri Muhobbat Ko
Dil Main Kya Phool Khila Kartay Thay
Ghar Ki Dewaar Sajaanay Ki Khaatir
Ham Tera Naam Likha Kartay Thay
Kal Tujhay Daikh Kar Yaad Aaya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay Thay.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna
Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai
Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai
Harr Ek Masley Ka Teray Hal Nikaal Rakhna Hai
Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai
Gar Jo Kabhi Tu Tark-e-Talluq Ki Baat Karay
Rok Kar Tujhay Kal Pe Taal Rakhna Hai
Teray Dard Ko Chun Lena Hai Palkon Se Apni
Teray Waastey Khud Ko Nidhaal Rakhna Hai
Nahi Doobnay Dena Tujhay Dukh Ke Darya Main
Teray Wajood Ki Naaow Ko Uchaal Rakhna Hai
Balaaon Ko Teri Duaaon Se Rook Loon Apni
Teray Chaar Soo Apnay Hathon Ki Dhaal Rakhna Hai
Raha Muntazir Uska Tu Dhoop Main Ahl-e-WAFA
Woh Jab Lautay Tou Chaoon Ko Nikaal Rakhna Ha.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Miley Kaisey Sadiyoun Ki Pyaas
Miley Kaisey Sadiyoun Ki Pyaas Aur Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Badri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa
Kahaan Sey Chalaa Thaa Judai Ka Saaya, Nahien Dekh Paaya
Kay Rastay Mein Thi Aansoyoun Ki Rawaani, Zara Phir Sey Kehnaa
Hawa Yeh Khabbar Tou Sunaati Rahey Aur Mein Suntaa Rahoon
Badalney Koo Hai Ab Yeh *Mousum Khizaani*, Zara Phir Sey Kehnaa
Mukar Jaaney Waala Kabhi Zindagi Mein Khusi Phir Naa Paaye
Younhi Khattam Kar Lein Chalo Yeh Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa
Samay Kay Samandar! Kaha Tu Ney Jo Bhi, Suna Par Naa Samjhe
Jawaani Ki Nadi Mein Thaa Taiz Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
By:
musarat
Send To Mobile
-
Mumkin Ho Aap Se To Bhula
Mumkin Ho Aap Se To Bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhay
Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay
Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay
Ki main ne apne zakham ki tash'heer ja baja
Hum mantey hein jurm, saza dijiyey mujhay
Qaim to ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhay
Shab bhar kiran kiran ko tarasnay se faida
Hai tairgi to aag laga dijiyey mujhay
Jaltey dinoon main khud pas-e-deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhay
Youn to shoola-e-jaan sard ho chuka
Laikin sulag uthoon to hawa dijiyey mujhay
By:
musarat
Send To Mobile
-
Nighaa-e-Mast Ki Mastiaayyan
Nighaa-e-Mast Ki Mastiaayyan
kisi BAdNASEEB pe daal daiiiii
kisi 'dardmand' k To kaAM aaa
kisi dobtaiii ko uchhhaaal daiiii
maI iSI KHAYAAAL SE ajj tak
tUghaI "DIL"ke baat na batasaka
tO jo dard-e-dil se haiii baikhabar
kahiN "MUSKURAA" K Naa TAal dai.
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: