Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Main wo kis tarahn se karun bayan
Main wo kis tarahn se karun bayan,
jo kiye giye hain sitam yahan
Sune kon meri yeh dastan,
koi hamnashen hai na razdan Jo tha jhot wo bana sach yahan,nai kholi maine magar zuban
Yeh akela pan,yeh udasiyan,meri zindagi ki hai tarjman
Meri zaat zara e benishan
Kabhi soni subhun main ghomna,kabhi ujri sham ko dekhna
Kabhi bhegi ankhun se jagna,kabhi bete lamhun ko sochna
Mgr ek pal h umed ka,hy mujhe Khuda ka jo aasra
Na hi maine koi gila kiya na hi maine di hain duhaiyan
Meri zaat zara e benishan
Main bataun kya mujhe kya mile,mjhe sabr hi ka sila mile
Kissi aghi ki rida mille kisi dardgi ka sila mile
Kis gham ki dil main jagah mile,jo mera hai wo mujhe aa mile
Rahe shad yun,mera jahan,k yeh yaqen main badle mera guman
Meri zaat zara e benishan
By:
musarat
Send To Mobile
-
Barso baad ye dua rang laayi hai
Barso baad ye dua rang laayi hai,
wo mere kareeb itne kareeb aayi hai..
main ye kaise manloo ke ye meri wafa ka sila hai ,
usne to abtak ki sirf bewafai hai.....
thahar jaa e shaam mere aagan mein aaj,
barso baad to roshni mere dar par aayi hai..
kaise bayan karoo jajbaat apne dil ke,
kahte hue meri aankh bhar aayi hai....
nazar jaati hai janha tak bas wo hi nazar aate hai,
na zaane kyu use ye baat nazar nhi aayi hai..
naksh ubhar aaya mere sahib ka aate hi raat,
kyu khwabo mein bhi mujhe uski yaad aayi hai.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Tujhay aayaa na jo falak choonay
Tujhay aayaa na jo falak choonay ka andaaz Gunaah bana di gayiN parvaazaiN meri Ab mera qasoor hai kya teray ahsaas ki ghurbat Jo dabaatay ho balaNd aawaazaiN meri? Jab tu mehfiloN maiN ho mast firta tha Karti thi meri umr tanhaaioN maiN riyaaz Jab tu laga raha tha beparvaah qehqehay Samajh raha tha tab maiN khyaaloN kay andaaz Mainay ik ahud pay jiayaa hai zeest ka lamha lamha Tunay tab jisay janooN ka naam diyaa ZameeN jisko samajh na paayi
AasmaaN nay uska ahatraam kiyaa
Teray rutboN ki nahin ab koi kashish baqi Samjhay to yeh bhi hai ik kamaal-e-phun mera Jo bus riwaayutoN maiN dhal kar kay banay NahiN ab woh mozu-e-sukhan mera MaiN to khwaaboN kay geet banaauNga Aur wusat-e-afqaar say sajaauNga Tujh maiN himmat hai to aa jaanaa Warna akaylay hi gungunauNga
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: