Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Shareek-e-Gum Huwa Jo
Ghazal
Shareek-e-Gum huwa jo mery chot khany k bad.
Kho diya main ne us ko pany k bad.
Mujy naz raha faqat us amal pr sada.
Usny mujy apna mana azmany k bad.
Suna hai tarap rha hai wo meri wafa k liye,
Shayad pachta raha hai mujy thukhrany k bad
Aj youn he Sar-e-Rah us sy nazr ja mili "MOHSIN"
Wo RO DIYA mujsay nazar milany k bad
Kis ks ko doun ilzam BEWAFAI KA
Hr koi chor gya mjko apnane k bad.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Mohabat Rog Hoti Hai
Mohabat Rog Hoti Hai kaha bhi tha
Rula k kud bhi roti hai kaha bhi tha
Isay tum dil ki dharti ka pata mat do
Yeh us mai dard boti hai kaha bhi tha
Marhala-e-mohabat mai khushi k bad
Ghamon ki rut bahut nazdeek hoti hai kaha bhi tha
Luta kar dil ko ronay say hai kia hasil
Tmhara Ahshk bahut nayab moti hai kaha bhi tha
yeh tum ko sir say paon tak bus rakh kar daygi
bahut bay dard hoti hai kaha bhi tha
By:
musarat
Send To Mobile
-
Ahal-e-Dil Aur Bhi Hain
Ahal-e-Dil Aur Bhi Hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain
kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain
hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain
sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain
munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
By:
musarat
Send To Mobile
-
Kabhi Subha Hogi Na Shaam Hogi
Kabhi Subha Hogi Na Shaam Hogi
ashi koi kahani mare naam hogi
saahil ki mooj ka kiya pata
raat pey likhi tahreer gumnaam hogi
chalte rahay hain bas younhi
jane apni manzil ki gaam hogi
her ati saans per hoti hai subha
koun jane kab zindagi ki shaam hogi
tum mujhay jitna kureidoo gay
mari metti utni hi kaam hogi
jee raha hoon is umeed per main
tare dar pay zindagi ki shaam hogi
jis ki yaad main jitay hain hum
yeh zindagi bas us k naam hogi.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Sab Ko Paimane Pe Paimana Diya
Sab Ko Paimane Pe Paimana Diya
Mujh ko ek ek boond ko tarsa diya,
Mekaday walon ki is me kya khata,
Hum ko saqi ne bara dhoka diya,
Hum ne apni be'mehal tadbeer se,
Aur bhi taqdeer ko uljha diya,
Zindagi ko be'wafa kehte hain hum,
Zindagi ko hum ne lekin kya diya....!
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: