Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Tu hi nazar k samnay aesa laga mujhy
Tu hi nazar k samnay aesa laga mujhy.
har shakhs tere sheher ka apna laga mujhy.
pholon say zakhm khaye to kantey haseen lagey.
ye tajruba hayaat ka acha laga mujhy
kehta raha jo sheher main mil kar raha karo.
wo shakhs khud qareeb say tanha laga mujhy.
har cheez tere sheher ki mehngi lagi maagar.
insan tere sheher ka sasta laga mujhy.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Main tere sath sath raha bhi nai
Main tere sath sath raha bhi nai
khuda ki kasam main bewafa bhi nai
saans tu le dil dhadakta hai mera
meri rooh teri rooh se juda bhi nai
...tu samajahti hai tujhe bhuladu
aaisi to koi wajah bhi nai
tere baad chand se raha jhagda
chandni raat aur ujala bhi nai
tere baad fizaose raha jhagda
koi badal mujhpe barsa hi nai
wo jiske hatho ko samajhta tha mai zindagi
hath chod kar chal diye aur kuch kaha bhi nai…
main tere sath sath raha bhi nai
khuda ki kasam bewafa bhi nai
By:
musarat
Send To Mobile
-
Jab SAWAN main TANHA bheego gey
Jab SAWAN main TANHA bheego gey,
Jab AANGAN khaali PAO gey,
Jab SAHIL say TAKRATI lehroon main,
Apni TANHAI main KHOO jao gey,
Jab RAAT k TANHA daman main,
Tum CHAND ko AADHA pao gey,
jab KHUD say BAATAIN krty krty,
Tum DOOR kahin KHOO jao gey,
Jab DIL ki baat CHUPANAY ko,
Ham say NAZAR tum CHURAO gey,
Main TUM say MOHABBAT krti hoon,
Har BAAR ye sun_na CHAHO gey,
In sab LAMHOON main JAAN lena k,
Tum tum nahi "HUM" ban jao gey,
By:
musarat
Send To Mobile
-
Wo hi aani waala nebaahta tumHe
Wo hi aani waala nebaahta tumHe yaad ho ke na yaad ho
wo naye gile wo shiKaayate wo maze-maze ki hikaayateN
wo har ek baat pe roothna tumHe yaad ho ke na yaad ho
koi baat aisi agar huyee jo tumhaare jee ko buree lagi
to bayaaN se pehle hi bhoolna tumHe yaad ho ke na yaad ho
jise aap ginte the aashnaa jise aap kehte the baawafaa
main wohi hooN 'jis ko'tum mohabbat e mesal kehty thy tumHe yaad ho ke na yaad ho
By:
musarat
Send To Mobile
-
Teri Be-Parda Nigahon Ka
Teri Be-Parda Nigahon Ka Nishana Ban K,
Khud Se Jhagra Hon Buhat Tera Deewana Ban K,
Mujhe Is Tarha Se Na Dekh Teri Zulfon Ki Qasam,
Phir Na Reh Paonga Main Tujh Se Begana Ban K,
Neend Aankhon K Dareechy Se To Hai Door Magar,
Khawab Aate Hain Phir Sone Ka Bahana Ban K,
Ye Talatum Teri Ulfat Ka Mere Dil Mein To Hai,
Khatm Ho Jaye Na Ye Qisa Fasana Ban K,
Is Qadar Chahna Us Ko Na Raas Aaya,
Wo Mery Paas Se Guzra Hai Begana Ban K..!!!”
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Tera Aks Dil K Qareeb Tar
Tera Aks Dil K Qareeb Tar,
Teri Yad Jan Se Aziz Tar,
Tera Dard Sab Se Hai Mo’atbaar,
Kabhi Loat Aao Jo Ho Sakay,
Tere Bin Hai Soona Mera Nagar,
Mere Hum Nasheen Mere Humsafar,
Teri Dosti Hai Azeem’Tar,
Tujhay Duayen Itni Main De Sakun,
Koi De Sakay Ga Na Umer Bhar!
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Zikr Shab-e-Firaq Se Wehshat
Zikr Shab-e-Firaq Se Wehshat Use Bhi Thi,
Meri Tarha Kisi Se Mohabbat Use Bhi Thi.
Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka,
Rasta Badal Kar Chalne ki Aadat Use Bhi Thi.
Us Raat Der Tak woh Raha Mehv-e-Guftugu,
Masroof Main Bhi Kam Tha Faraghat Use Bhi Thi.
Mujhse Bicharr K Shehar Me Ghul Mil Gaya Woh Shakhs,
Halan k Shehar Bhar Se Adawat Use Bhi Thi.
Tanha Hua Safar Me To Mujh Pe Khula Yeh Bhaid,
Saaye Se Pyar, Dhoop Se Nafrat Use Bhi Thi.
Mohsin Main Use Keh Na Saka Yun Bhi Haal-e-Dil,
Darpaish Ek Taaza Museebat Use Bhi Thi.
By:
AsiM
Send To Mobile
Submit Your Comments: