Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Bohot kuch badal jata hai
Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad
By:
musarat
Send To Mobile
-
Dekho To Ye Umeedon Ka Diya
Dekho To Ye Umeedon Ka Diya Jalta Hai Kahan Tak
Aankhon Mein Ye Ik Khuwab Naya Palta Hai Kahan Tak,
Na'jany Kis Gumaan K Behlawy Mein Uljah Kar
Wo Saath To Chala Aaya Hai Par Chalta Hai Kahan Tak,
Hai Naz Bohat Zabt Pe Magar Deikhna Hai Mujh Ko
Ye Halaat Mein Jalta Hai To Pighlta Hai Kahan Tak,
Log Taaq Mein Bethy Hein Keh" Deikho To Es Ka Kirdaar
Majboorion K Sanchy MeiN Dhalta Hai Kahan Tak,
Mere Tajasus Bhary Guman Ko Ab Ye Fikr Lagi Hai
Keh Rangon Mein Waqat Apny Tujhe Rangta Hai KahaN Tak,
Imtihaan Teri Wafaon Ka Abhi Aaya He Nahi Hai
Dekhein Gy Tu Badalta Hai To Badalta Hai Kahaan Tak !
By:
musarat
Send To Mobile
-
Dhondhty kia ho in Aankun me kahani meri
Dhondhty kia ho in Aankun me kahani meri,
khud me gum rehna to Aadat hy purani meri
Bher me B tmhen mil jaunga Aasani se,
khoya khoya sa rehna hy Nishani meri
Mene ek bar kaha tha k bohat Piyasa hun,
Tb se mashor hoi Tisna Dihani meri
Yahi dewar-o-dar-o-bam the mere hmraz,
Inhee galyun me bhatakti thi jawani meri
Tu B uss shehr ka baasi hy to dil se lg ja,
Tjhse wabsta hy ek yad purani meri
Karbla dasht mohabbt ko bana rakha hy,
Kia gazl goi hy, kia marsia khuvani meri...!!!
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: