Main wo kis tarahn se karun bayan,
jo kiye giye hain sitam yahan
Sune kon meri yeh dastan,
koi hamnashen hai na razdan Jo tha jhot wo bana sach yahan,nai kholi maine magar zuban
Yeh akela pan,yeh udasiyan,meri zindagi ki hai tarjman
Meri zaat zara e benishan
Kabhi soni subhun main ghomna,kabhi ujri sham ko dekhna
Kabhi bhegi ankhun se jagna,kabhi bete lamhun ko sochna
Mgr ek pal h umed ka,hy mujhe Khuda ka jo aasra
Na hi maine koi gila kiya na hi maine di hain duhaiyan
Meri zaat zara e benishan
Main bataun kya mujhe kya mile,mjhe sabr hi ka sila mile
Kissi aghi ki rida mille kisi dardgi ka sila mile
Kis gham ki dil main jagah mile,jo mera hai wo mujhe aa mile
Rahe shad yun,mera jahan,k yeh yaqen main badle mera guman
Meri zaat zara e benishan
Send To Mobile
<<< Read Previous |
Read Next >>>