Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Tum Pasandidah Kitab Ho
Tum Pasandidah Kitab Ho.
Aksar Sochti Rahi!
Main Tumhari Sabse Ziyada Pasandida Kitab ki Tarah Hon
Jo Neend Mai Bhi Tumhare Seene mei Khul kar Rehti Hai
Tum Mujhe Parrhte Ho, Harf-Harf Samajhte ho, Sparsh Karte ho
Main Aur Bhi Gehrey Utar jati Hon
Tumhare Ghar ke Kone Kone mei Dikh Jati hon
Wahin-Wahin jahan jahan Tum Mujhe Dhondte Rahe
Phir Achanak Q Seene Mai Rakhi Kitab Ko
Dhairon Kitab ke Beech Rakh Diya
Ek Baar Bhi Nahi Chaaha Kitab Par Jami Dhool ko Hata Don
Usey Usi Jagah Rakh Don Thora Parh Lon
Aur keh Don Tum hi Meri Pasandidah Kitab Ho.
By:
Saima Baloch
Send To Mobile
-
Meray Dil Mai Utro Zara
Meray Dil Mai Utro Zara Zara,
Mujhay Holay Holay to Pyar Do,
Meri Tishnagi ko Barhaao Phir,
Meri Bey-Kali ko Qaraar Do,
Mujhay Harf Harf Samait Lo,
Muje Lafz Lafz Shumaar Do,
Jo Umar Bhar na Utar Sakey,
Meri Rooh ko Khud Mai Utar Lo,
Aao Pyar k Is Khail Mai,
Tum Jeet Jao Mujhe Haar Do.
By:
Saima Baloch
Send To Mobile
-
Dil Ko Manana Mushkil Hai
Ek Din Woh Bahot Pachtaiga
Jab Laut Ke Wapis Aayega
Mai Haule Haule Bolungi
Sab Raaz Dil K Kholungi
Yeh Duniya Aisi Basti Hai
Har Aankh Se Aansoo Behta Hai
Dukh Dard Ke Maare Log Yahan
Har Aankh Ke Bikhre Khwab Yahan
Ret Bhari Hai Aankhon Mein
Mai Usse Kahungi Socho Toh
Gaya Waqt Kahan Se Laogey
Ye Baat Samajh Na Paogey
Behtar Tha Jo Laut Ke Na Aate
Ab Dil Ko Manana Mushkil Hai.
By:
Alina Amaan
Send To Mobile
Submit Your Comments: