Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Iqraar Gaye, Inkaar Gaye
Iqraar Gaye, Inkaar Gaye, Hum Haar Gaye
Aankhon Say Sab Aasaar Gaye, Hum Haar Gaye
Kuch Yaadein Uss Ki Beech Samander Doob Gayeen
Kuch Sapney Reh Uss Paar Gaye, Hum Haar Gaye
Ikk Umr Rahey Hain Jeet Say Be-perwah Lekin
Jab Jeetna Chaaha, Haar Gaye Hum Haar Gaye
Yoon Uljhey Duniya Ke Dukh Mein Be-sudh Ho Ker
Sab Jhootey Sachey Pyaar Gaye, Hum Haar Gaye
Pehley To Preet Mein Apney Aap Say Door Huwey
Phir Yaar Gaye, Dildaar Gaye, Hum Haar Gaye !
By:
Ariese Ansari
Send To Mobile
-
Kabhi Mujh ko Saath Lekar
Kabhi Mujh ko Saath Lekar, kabhi mere saath chal kar
woh badal gaye achaanak meri zindagi badal kar
huye jis pey meharaban tum koi Khush nasib hoga
meri hasaratein to nikalin mere ansuuon mein Dhal ke
teri zulf-o-rukh kay qurban dil-e-zaar dhuundhata hai
wahi champai ujaale wahi suramai dhundalake
koi phool bun gaya hai koi chaand koi taara
joh chiraag bujh gaye hain teri anjuman mein jal ke
mere dosto khudara mere saath tum bhi dhuundo
woh yahin kahin chhupey hain mere ghum kaa rukh badal kay
teri bejhijhak hansi say na kisi kaa dil ho mailaa
yeh nagar hai aainon kaa yahaan saans le sambhal ke.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Muhubbuton Main Her Ik Lamha
Muhubbuton Main Her Ik Lamha Wisaal Hoga Ya Teh Huva Tha
Bicher Ke Bhi IK Dosray Ka Khiaal Hoga Ya Teh Huva Tha
Wohi Huva Na Badaltay Mausam Main Tum Ne Hum Ko Bhula Dia
Koe Bhi Rut Ho Na Chahtoon Ko Zawaal Hoga Ya Teh Huva Tha
Ya Kia Ke Sansain Ukher Rhayeen Hain Safer Ke Aghaz Hi Main Yaro
Koe Bhi Thuk Ke Na Rastay Main Nidhaal Hoga Ya Teh Huva Tha
Chalo Ke Fizaan Kashtieun Ko Jlaa Dain Gumnam Saheloon Per
Ke Ab Yahan Se Na Wapsi Ka Swaal Hoga Ye Teh Huva Tha.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Dil ki Baat Labon Par
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,
Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behtey Hain,
Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,
Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,
Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
By:
musarat
Send To Mobile
-
Bheer Mei Ek Ajnabi Ka
Bheer Mei Ek Ajnabi Ka Saamna acha laga
sab se chhup kar woh kissi ka dekhna acha laga
Surmai Aankhon ke neechey phool se khilney lagey
kehtey kehtey kuch kissi ka sochna acha laga
baat tou kuch bhi nahin thi laiken "uss" ka aik dum
haath ko honton pe rakh kar rokna acha laga
Chaa'ey mein cheeni milaana uss ghari bhaaya buhut
Zair-e-lab woh muskuraata "shukria" acha laga
Dil mein kitney aehed baandhey thay bhulaaney ke ussey
Woh mila tou sab iraadey torna acha laga
Uss udoo - e - jaan ko amjad bura kaisey kahoon
Jab bhi Aaya saamney woh be-wafa acha laga.
By:
musarat
Send To Mobile
-
yad ati hain wo batain
wo mastiyan karna class main teachers ko satana
chalti hui leacture main sir ko choklete khilana
test main 1st ana
our doston ko chirana
har bat par larna or manana
yad ati hain wo batain
exams k waqt teachers k peeche bhagna
friends ki note book se apne liye notes banana
papers main wo sath parna
yad aati hian wo baten
ferwell ki party main seniours ka mazak urana
wo rona wo rulana
yad ati hai wo baten
wo mastiyan karna class main teachers ko satana
By:
musarat
Send To Mobile
-
Is tarah nahi krte
Is tarah nahi krte,
Rabta to rakhte hain,
Thora milne julne ka,
silsila to rakhte hain,
Manzilain buland hon to,
Mushkilain b aati hain,
Mushiklon se larne ka,
Hosla to rakhte hain,
Jo Tumhare Apne hon,
Tum se Pyar krte hon,
Un ka hal kaisa hai?
Kuch pata to rakhte hain!
By:
SAYYAM
Send To Mobile
Submit Your Comments: