Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Subah-Shaam Teri Yaad Ho
Khuda kare mere Dil mein Subah-Shaam Teri Yaad Ho,
Mere labon pe tere siva na duja koi naam ho,
Ankhon se nikle na ashk, na aisi koi shaam ho,
Jald bujha de is zindagi ka diya,
Aisa maut ka koi paigam ho!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Wapas Lautne Ka Man Karta Hai
Bas Ek Bar Wapas Lautne Ka Man Karta Hai
Aaj Har Wo Din Jeene Ko Man Karta Hai.
Kuch Buri Batein Jo Ab Acchi Lagti Hain
Kuch Batein Jo Kal Ki Hi Batein Lagti Hain.
Abki Baar Class Attend Karne Ka Man Karta Hai
Dopahar Ki Class Mein Aakhein Band Karne Ko Man Karta Hai.
Doston Ke Room Ki Wo Baatein Yaad Aati Hai
Exam Ke Time Pe Wo Hasi Mazak Yaad Aati Hai,
Tab Ki Bekar Lagne Wali Photos Chehre Pe Hasi Laati Hai.
Apni Galtiyon Pe Tumse Daat Khana Yaad Aata Hai.
Par Tumhari Galti Dekhne Ka Ab Bhi Mann Karta Hai.
Ek Aisi Subah Uthne Ka Mann Karta Hai
Bas Ek Bar Wapas Lautne Ka Man Karta Hai.
Bas Ek Bar Aur Wapas Lautne Ka Man Karta Hai...
By:
musarat
Send To Mobile
-
Mousamay Gul ki Tarha
Rang hai Phool hai Khhushboo hai Saba hai Koi
Mousamay Gul ki Tarhan hum se Mila Hai koi
Aik Rishta jo Lafzon main Bayan ho na Sakay
Hum Kon hai Uskay Aakhir Hamara Kia hai Koi.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Teri Yadoon Ka Kinaara Koi
Teri Yadoon Ka Kinaara Koi
Kaisay Milta Hai Sahara Koi
Tujhko Kho Kar Koi Umeed Nahi
Na Hai Hathon Me Sitara Koi
Meray Dil Ko Qarar Hi Ajaaey
Jatay Jatay Dai Do Ishara Koi
Kaisay Yeh Dil Kisi K Nam Karu
Dil Me Hai Jaan Se Pyara Koi
Suno Ab Zeest Yuh Hi Karni Hai
Nahi Iskay Siwa Chara Koi.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Khuwabon ka Asar lagta hai
Chashm-e-Be Khowab pe Khuwabon ka Asar lagta hai,
Kaisa patjhar hai k Shakhon pe Samar Lagta hai.
Mohlat-e-Umar bus Itni thi k Guzra Huwa Waqt,
Aik Dhalkay huwe Aansu ka Safar lagta hai.
Kahin kuch or bhi ho Jaon na Raiza Raiza,
Aisa Toota Hon k Jurtay Huway Dar Lagta Hai.
Zehan ki Jheel se Yaadon ki Dhanak Phoot'ti hai,
Ek Mela hai Jo har Sham Idhar Lagta Hai....!
By:
Master Mind
Send To Mobile
-
Aj Mujh Se Lipat K So Jao
Aj Mujh Se Lipat K So Jao,
Aj Kro Kuch Aisa Mujh Me Kho Jao
Apne Nazuk Se Malmal Se Jism Ki Khushbu Se,
Mere Badan Ko Mehka K So Jao
Musalsal Sans Se Sans Jor Do Jana,
Aj Mere Tan Se Apna Tan Mila K So Jao
Chand Si Chandni Me Taaro Ka Dikhao Jalwa,
Aj Mujhe Pyar Do Ya Pyar Kar K So Jao.
By:
Dhump
Send To Mobile
-
Suna Hoga Bohat Tumne
Suna Hoga Bohat Tumne
Kahin Aankho Ki Rim Jhim Ka
Kahin Palkon KI Shabnam ka
Perha Hoga Bohat Tumne
Kahin Lehje Ki Barish Ka
Kahin Sagar k Ansoo Ka
Magar Tumne Kabhi Humdam
Kahin Dekhy? Kahin Perhy?
Kisi Tehreer K Aansoo?
Mujhe Teri Judai Ne
Ye Meraj Bekhsi Hai
K main jo Lafz likhta hon
Woh Sary Lafz Rotay hain
K main jo Harf Bunta Hon
Woh Saray Bain Kartay hain
Mere Sang is Judaai Mai
Mere Alfaz martay hain
Sabhi Tareef kartay hain
Meri Tehreer ki lekin.
Kabhi koi nahin Sunta
Mere alfaz ki Siski
Falak bhi jo hila Daalay.
Mere lafzoN main hain Shamil
Usi Taseer ke Aansoo
Kabhi Daikho mere humdam
Meri Tehreer ke Aansoo.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Aik Aansu Meri Palkon Pe
Aik Aansu Meri Palkon Pe Numanyan hi Sahi
Log Kehtay hain Charaghaan to Charaghaan hi Sahi
Hum ne har Daor mein Raaton se Baghawat ki thi
Aaj Pabandi-e-Aaien Shabistaan hi Sahi
Meri Taqdeer mein Phoolon ka Tassawur bhi mahal
Koi Gulshan Bakaf-o-khuld Badamaan hi Sahi
Mujh pe jo Beet gai Beet gai Beet gai
Meri Hasrat Teray Chehray Se Numayan Hi Sahi.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Ye Rung-e-Gul Bhi Hai
Ye Rung-e-Gul Bhi Hy
Aur Khaar Bhi Hy
Zubaan Chalti Hui
Talwaar Bhi Hy
Ajab Hy Bolti Aankhon
Ki Masti
JahanInkaar Bhi Hy
Iqraar Bhi Hy
Ye Raah-e-Ishq Hy
Dekho Sambhal Kr
Bohat Aasan Bhi Hy
Dushwar Bhi Hy
Ajab 2 Rung Hyn
Insaan Ki Fitrat
Gila Hy Jis Sy Usi Sy
Pyar Bhi Hy !!!
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: