Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
zindagi . . .
Zindgi da kuch pata nahi kado muk jana,
Saha di as door ne kado tut jana,
Vekh lavi bhave tu lakh var rus k,
Asi har vari tenu manadey chale jana
By:
faisal
Send To Mobile
-
Hum Ne Ulfat Ka Bharam
Hum Ne Ulfat Ka Bharam Sub Se Juda Rakha Hai..
Goya Seenay Mein Tujhe Dil Ki Jaga Rakha Hai..
Dil Ye Chahe K Tu Kabhi Badnaam Na Ho..
Dekh Zikr Tera Hai Magar Naam Chupa Rakha Hai..
Mere Jis Haath Se Kiya Tha Tu Ne Musafha..
Dhoya Hi Nahin Honton Se Laga Rakha Hai..
Ab Main Samjha Tere Rukhsar Pe Til Ka Matlab..
Doulat-E-Husn Pe Darban Beitha Rakha Hai..
Juda Ho Gaye Hain To Phr Kya Hua "SAQI"
Teri Tasweer Ko Seenay Me Saja Rakha Hai.
By:
SAYYAM
Send To Mobile
-
Haakim-e-Shehar Bata
Haakim_e_Shehar Bata...!
Waqt K Shikanjon Ne
Khawahishon K Phoolon Ko
"Noch Noch" Tora Hai"
Kya Ye Zulm Thora Hai...?
Dard K Jazeeron Ne Aarzu K Jeewan Ko
Maqbaron Mein Dala Hai"
Zulmaton K Dhairey Hain
Log Sab Lutere Hain
Moat Rooth Bethi Hai"
Zaat Reiza Reiza Hai
Taar Taar Aanchal Hai"
Dard Dard Jeewan Hai
Shabnami Si Palkein Hain"
Qurb Hai Na Doori Hai
Zindagi Adhoori Hai
Ab Yaqeen aya Hai
K
Moat Bhi Zaroori Hai!
Haakim_e_Shehr Bata....
By:
SAYYAM
Send To Mobile
-
Mohabbat K Safar Mai
Mohabbat K Safar Mai Dil Jala Kar Chain Milta Hy,
Tmhare Dard Ki Mehfil Saja Kar Chain Milta Hai,
Wo Bhoola Hy Agar Ehad-E-Wafa to Bhool Jane do,
Humein Aisi Mohabbat Ko Nibha Kar Chain Milta hai.
By:
SAYYAM
Send To Mobile
-
Kitne Deewane Nikle
Hum Bhi Kitne Deewane Nikle,
Diye se andhera mitane Nikle,
Ghum-e-Dil pe humare jo hansa karte hain,
Hum unko hi Haal-e-Dil sunane Nikle,
Kaghazi Phoolon pr aati Nahi baharain,
Ye jaan k b gulshan sajane Nikle,
Dunya mein bikti hain jhooti kahaniyan,
Sache afsane sab hum jalane Nikle,
Log Bethe hain bhar k muthi mein Namak,
Jane Kia soch k Hum zakham dikhane Nikle.
By:
SAYYAM
Send To Mobile
Submit Your Comments: