Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
Sabhi Ashk Aankhon Men
Sabhi Ashk Aankhon Men Aa Gae
Na Chhupa Saky Na Bata Saky
Wo jo Bhed Tha Wo Khul Gya,
Koi Baat B Na Chhupa Saky
Na Wafa Rahi
Na Jafa Rahi,
Na Wo Dil Rha
Na Hum Rahy
Us ki Yad Ka Jo Charagh Tha
Na Jala Saky
Na Bujha Saky
Koi Zor Khud Pe Raha
Nahen Koi Bus B Us Pe Chla Nahen
Usy Dekhty Rahy Door Tak, Magr Hath Tak Na Hila Saky
Nahen Is Men Us Ki Khata Koi
Na Naseeb Ka Koi Dosh Tha,
Ye Hamara Apna Mizaaj Tha
K
Kisi Tarh Na Nibha Saky.
By:
Zindagi Rocks
Send To Mobile
-
Meri ankhoñ se bikharti hy sadaqat kesi
Meri ankhoñ se bikharti hy sadaqat kesi ?
Dharrkanoñ men hy
sr-e-sham tilawat kesi ?
Phir koi
harf-e-wafa ho ya gila ho kesa,
Jab muhabat hi nahi hy to shikayat kesi ?
Ye jabeenoñ pe wafaoñ k nishañ kesy hen?
koi ekhlaas nahi hy to ibadat kesi ?
Roshni bant'ta phirta hon main nabeenoñ men,
Mujh se hoti hy ye hr roz sakhawat kesi ?
Bol utha hy
sr-e-hashr yehi mery khilaf,
Ye mery jism ne kr di hy baghawat kesi.?
By:
SAYYAM
Send To Mobile
-
Kyun Uddas Beithy Ho
Bolta Nahi Koi, Is Liye Zamane Se
K Log Toot Jate Hai Faisle Sunane Se.
Kyun Uddas Beithy Ho Is Tarah Andhere Mai.
Dukh To Kam Nahi Hote Roshni Bhujane Se.
By:
Irfan
Send To Mobile
-
Hawa ko awara kehne walo
Hawa ko awara kehne walo,
kbi to socho,
kbi to likho,
hawaien kyo apni manzilon se bhatak gain hain,
na unki aankho main khuwab koi,
na khuwab main intizar koi,
na un k sare safar main subh-e-yaqeen koi,
na sham or eitbar koi,
na un ki apni zameen koi,
na aasman pe koi sitara,
na koi mosam,
na koi khushbo la ista'ara,
na roshni ki lakeer koi,
na unka apna safeer koi,
jo un k dukh per kitab likhe,
musafirat k azaab likhe,
Hawa ko aawara kehne walo,
kbi to socho...
By:
SAYYAM
Send To Mobile
-
Khof-e-Duniya Se Mere
Khof-e-Duniya Se Mere Pas Na Aane Wale,
Jaan Rakhte Hain Hatheli Pe Nibhane Wale,
Meri Ruswai Mein Gheron Ka Koi Dosh Nahi,
Es Mein Shamil Hain Mere Apne Chahne Wale,
Kitna Nadan Hon K Es Aas Pe Zindah Hon Abhi,?
Lout Aayen Gay Mujhe Chhor K Jane Wale,
Ab Tu Rasta Hai Na Manzil Na Shanasa Koi,
Shukriya Shukriya Es Morr Pe Lane Wale,
Ab Kahon Tujh Ko Main Mohsin Tu Bhala Kesay Kahon?
Kar K Ehsan Sar-e-Aam Jatane Wale.
By:
SAYYAM
Send To Mobile
Submit Your Comments: