Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
"Me usay bhool k bhoolon bhi to bhoolon
"Me usay bhool k bhoolon bhi to bhoolon kaisy ?
"Wo to ek khawab hai me khawab
ko choo lon kaisy ?
"Us ki tasveer se mansoob hai aankhen meri"
"Me kisi or ko dekhon bhi to dekhon kaisy ?
"Wo meri soch k parday main chupa betha hai"
"Me kisi or ko sochon bhi to sochon kaisy.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Tum Maan Jao Na
Hamay Ab Yun Satao Na
Tum Maan Jao Na
Hamay Ab Yun Satao Na
Tumharay Bin Hamay Jena
Gawara Ab Nahi Hota
...
Tumhay Kaisay Kahun Tum Bin
Guzara Ab Nahi Hota
Hamay Apna Bana Lo Tum
Tumhara Ban K Rehna Hai
Mujhe Dukh Hijar Ka Janum
Nahi Ab Or Sehna Hai
Kayi Sapnay Sajaey Hain
Ab In Me Rang Bhar Do Na
Tumhay Meri Kasam Jannah
Tum Meray Sang Chal Do Na
Mujhay Ab Aur Rulao Na
Suno Tum Maan Jao Na
By:
musarat
Send To Mobile
-
Ay Naey Saal Bata Tujh Main Naya Kia Hy
Ay Naey Saal Bata Tujh Main Naya Kia Hy
Har Tarf Logoun Ne Shor Macha Rakha Hy
Roshni Din Ki Wohi
Taroun Bhari Raat Wohi
Hum Ko Aaj Bhi Nazar Aati Hy Har Baat Wohi
Aasman Badla Hy Na Badli Yeh Afsurda Zameen
Ek Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahin
Besabab Dety Hain Kiun Log Mubarak Baadain
Sab Kia Bhool Gy Waqt Ki Karwi Yaadain
Tu Naya Hy To Dikha Subha Nayi Shaam Nayi
Warna In Aankhoun Ne Daikhay Hain Naey Saal Kayi...!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Pereshan Hairaan tha main eik Insaan
Zi
Pereshan Hairaan tha main eik Insaan
Zindgi ka gulshan bhi tha wiraan
Phir her eik phool jo yahan khila hai
Sub teri duao’n ka sila hai
Main itna kamzoor-O-ghustakh hoon Insaan
Amal mera gunahoon sa hai bhara
Phir bhi Rehmat ka derwaza jo mujh pe khula hai
Sub teri duao’n ka sila hai
Pat jhar thi har daal rahi thi sookh
Ghair tu ghair apney bhi rahe they rooth
Phir yeh zindagi ko naya rung jo mila hai
By:
musarat
Send To Mobile
-
Apni Dharknon Se Kuch Aisey Mera Naam Lo
Apni Dharknon Se Kuch Aisey Mera Naam Lo,
Ye Waqt Ruk Jaye Is Lamhey Ko Thaam Lo,
…Teri Aankhon Main Jhalak Hai Aisi Mere Pyar Ki,
Sahil Pe Jaisey Dhalti Haseen Shaam Ho,
Lafzon Se Hota Nahi Izhar, Hum Se Pyar Ka,
Bas Meri Aankhon Me Dekh Kar, Khud Ko Pehchan Lo,
Jaisey Tarasta Hai Sehra Shabnam Ke Chhooney Ko,
Kabi Waisey Rab Se Tum Bhi Mujhey Maang Lo.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Is Tarha ke Zindagi Mein Hadsa Nahi Melt
Is Tarha ke Zindagi Mein Hadsa Nahi Melta
Tum Talk Pohenchne Ka Wasta Nahi Melta
Arzoo Toh Melti Hai Justajo Nahi Melti
Manzilein Toh Melti Hein Rasta Nahi Melta
Ruhh ki Zameen Pe Ek Ajab Aalam Hai
Dard Aur Tamana Mein Fasla Nahi Milta
Sogawaar Logun ki Beqarar Logun Ki
Zindagi Mein Koi Bhi Zabta Nahi Milta
Is Tarha Bhi Hojata Hai Khraab Mousam Mein
Dard Ke Musafir Se Rabta Nahi Milta
By:
musarat
Send To Mobile
-
kisi se ab itni muhabbat b nahi rakhni h
kisi se ab itni muhabbat b nahi rakhni hai
din rat hijr ki vehshat b nahi rakhni hai
kisi se ab itni muhabat b nahi rakhni hai
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Jinse Bichrain To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw’wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai……!!!!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Main Jalwa-e-Sadd Rung Hon Ya Moj-e-Saba
Main Jalwa-e-Sadd Rung Hon Ya Moj-e-Saba Hon.?
Ehsas ki Chokhat Pe Khara Soch Raha Hon.
Ik Jaam To Pee Lene De Aye Gardish-e-Doraan,
Phir Tujh Ko Batata Hun K Main Kon Hon Kiya Hon.
Tum Yaad Karo Pehli Mullaqat ki Batein,
Main Pehli Mullaqat Zara Bhool Gaya Hon.
So Baar Zamane Ne Mujhe Zehar Diya Hai,
So Baar Main Sach Bol K Sooli Pe Charha Hon.
Aksar Usey Pa Lene Ki Umeed Me "SAGAR"
Khud Apne Liye Raah Ki Deewar Bana Hon.
By:
AsiM
Send To Mobile
Submit Your Comments: