Best Collection of New Islamic SMS at Funny SMS
Best collection of
islamic sms and Al-Quran / Al-Hadith(Hadees) of the Day / text messages in roman urdu & english. Yes, you can also see good collection of sms messages related to Islam. Send these
cute Islamic sms messages to your
Muslim friends and brothers. Cool collection of Ramazan sms,
Ramadan month sms. You can also
submit islamic sms here.
Latest Islamic SMS:
-
Hadees-e-Nabwi
Rasool Allah (Sallalah-o-Alaihe Wassalam) ne Farmaya:
1. Jo shakhs har waqt wazuu main rahega Allah Taala uski rozi kushada farmayega.
2. Us shakhs ki Hajat jald poori hoti hai jo apni Hajat kisi aur insaan ko na bataye.
3. Allah Taala us shakhs ko aabad karta hai jo Hadees-e-Nabwi(S.A.W) sun kar doosron tak pohnchaye.
By:
Jasper
Send To Mobile
-
Jannat ka Rasta
Hazrat Muhammad sALLALAH-O-ALAIH-E-WASSALLAM said:
kuch aise log hongay jinko Jannat main jany ka hukum diya jayega, lekin woh log Jannat ka rasta bhool jayen gay.
Pucha gaya ye log kon hongay?
Aap (S.A.W) ne Farmaya: Ye woh log hain jinke samnay Mera Naam liya jaye, aur ye mujh par Durood Bhejna bhool jatay hain.
(Allah Pak sab ki Maghfirat Farmaen - Aameen Summa Aameen)
By:
Jasper
Send To Mobile
-
Umer main Izafa
Nabi Kareem (Sallalah-o-Alaihe Wassalam) ne Farmaya:
Taqeer ko Dua k ilawa koi aur cheez nahi badal sakti,
Aur Umar main Neki k alawa koi cheez izafa nahi kar sakti.
By:
Jasper
Send To Mobile
-
Hazrat Umar ka Farmaan
Hazrat Umar (R.A) ne farmaya: "Mohtaji aur ghurbat char (4) cheezon se aati hai;
1- Jaldi jaldi namaz parhne se,
2- Khare ho k pani peeny se,
3- Munh se charagh bujhane se,
4- Daman ya aasteen se munh saaf karne se.
Aapko tou iska pata chal gaya, plz auron ko bhi bataain
because aapki wajha se koi in cheezo se bach sakta hai.
By:
Jasper
Send To Mobile
-
Hadees-e-Mubarak!!
Hadees-e-Mubarak!!
* Jab tum Haya na karo to Jo chahay karo. (Sahi Muslim)
* Tum Ghaib ki khabrain batany walon k paas na jaya karo. (Sahi Muslim)
* Qabron ko Sajda Gaah na banao. (Sahi Muslim)
* Dozakh ki Aag se bacho chahy, Khajoor ka ek Tukra de kar he.
=> Ek Hadees bhi logon tak pohnchane ka bohat ajar hai.
By:
Jasper
Send To Mobile
-
Dua
Hazrat Muhammad sALLALAH-O-ALAIH-E-WASSALLAM said:
Jab dua karo to doosron ko bhi yaad rakho,
Ho sakta hai k kisi kay naseeb ki khushiyan aapke aik harf-e-dua k intazaar main hon.
By:
Jasper
Send To Mobile
-
Duaon ki Qabooliyat kay Auqaat
According to Hadees: Duaon ki Qabooliyat kay Auqaat:
1. Farz namaz kay baad,
2. Aazaan aur Aqamat kay darmiyan,
3. Tahajjud kay waqt,
4. Barish Barastay waqt,
5. Safar main,
6. Aftaar k waqt,
7. Jummay k din ek Ghari,
8. Shab-e-Qadar main,
9. Aab-e-Zam Zam peetay waqt.
10. Arafat kay din Maidaan-e-Arafaat main,
11. Quran Pak ki Tilawat kay Baad.
By:
Jasper
Send To Mobile
-
Ebadat k sath apne
Ebadat k sath apne dil ko saaf rakhna,
Apne rooh aur jism ko gunahon se pak rakhna,
Bus meri ek choti si eltija yaad rakhna,
Hamesha mujhko apni "Duaon" main yaad rakhna.
By:
Jasper
Send To Mobile
-
Zaya na jauyegi
Zaya na jauyegi Mehnat Namaz ki,
Dono jahan ki khair hai Daulat Namaaz ki,
Dil main basa lo dosto Hasrat Namaaz ki,
Sajday main ja kar lutoo Rehmat Namaaz ki.
By:
Jasper
Send To Mobile
Submit Your Comments: