Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Magar Ab Chaai Pita Hun
"POETRY"
Bohat Arsa Hua Ek Din
Bataya Tha Mujhy Us Ny
Banana Kuch Nahi Ata
Agar Me Kuch Banati Hun
To Bas Chaai Banati Hun
Piyo Gy Naa..?
Aur Me Is Baat Pe Muskurata Hi Rehta Tha
K
Banana Kuch Nahi Ata
Banati Ho To Bas Chaai
Mujhy Chaai Se Uljhan Hai
Nahi Pita, Nahi Pita
Aur Ab Is Baat Ko Guzray
Zamany Ho Chukay Kitny
Nahi Maloom Mujh Ko K
Wo Kesi Hai, Kahan Per Hai
Magar Ab Chaai Pita Hun
Bari Kasrat Se Pita Hun
Bari Hasrat Se Pita Hun..!!
By:
Raheel Ahmed
Send To Mobile
-
Dubara Nahi Milta
((GHAZAL))
Apni Tanhaai Se Hamen Chhutkara Nahi Milta..
Ab Kisi Se Bhi Andaz Hamara Nahi Milta..
Qismat Me Hi Na Ho Wafa To Kisi Se Kiya Gila ?
Ishq Me Dubny Walon Ko Kinara Nahi Milta..
Q Rota Hai Akela Beth Ker..??
Ik Baar Jo Bichar Jaye Wo Dubara Nahi Milta..!
By:
Husnain Nawaz
Send To Mobile
-
Ghar ka Rasta Bhool Gaya
Mujh se Mera kya Rishta hai,
Her Ik Rishta Bhool Gaya..
.
Itane Aaine dekhe hen,
Apna Chehara Bhool Gaya..
.
Ab to Ye bhi Yaad Nahi hai,
Farq tha Kitna Dono Me,,
.
Us ki Baaten Yaad Rahin aur
Us ka Lehaja Bhool Gaya..
.
Piyasi Dharti k Honto par
Mera Naam nahi to Kya,,
.
Me Wo Baadal ka Tukda hun,
Jis ko Dariya Bhool Gaya..
.
Duniya Wale Kuch bhi Kahen,
"Rashid" Apni Majburi hai,,
.
Us Ki Gali Yaad Aayi Jab,
Ghar ka Rasta Bhool Gaya..!
By:
Sumaira Malik
Send To Mobile
-
Piyar Nahi Aasan Bohat
**Ghazal**
Kuch Umr Ki Pehl Manzil Thi..
Kuch Rasty Thy Anjan Bohat..
Kuch Hum Bhi Pagal Thy Lekin,,
Kuch Wo Bhi Thy Nadan Bohat..
Kuch Us Ny Bhi Na Samjhaya,,
Ye Piyar Nahi Aasan Bohat..
Aakhir Hum Ny Bhi Khel Liya,,
Jis Khel Me Thy Nuqsan Bohat..
Jab Bikhar Gaye Tab Ye Jana,,
Aaty Hen Yahan Toofan Bohat..
Ab Koi Nahi Jo Apna Ho,,
Kehny Ko Yahan Insan Bohat..
Aye Kash Wo Wapas Aa Jaye,,
Ye Dil Hai Ab Sunsan Bohat..!
By:
Maha Abro
Send To Mobile
Submit Your Comments: