Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Ye Dil Hai Ek Ghar
Apny Labon Ko Dushman-e-Izhar Mat Bana..
Sachy Hen Jo Unhen Gunehgar Mat Bana..
Jitny Bhi Lafz Hen Wo Mehekty Gulab Hen,,
Lehjy K Fark Se Unhen Talwaar Mat Bana..
Ilzam Kuch To Gardish-e-Aiyaam Ko Bhi De,,
Apny Her Ek Gham Ko Gham-e-Yaar Mat Bana..
Her Ek K Liye Khula Mat Rakh Isy FARAZ,,
Ye Dil Hai Ek Ghar, Isy Bazar Mat Bana..!
By:
Naila Soomro
Send To Mobile
-
Ye Tum Acha Nahi Kerty
Akely Chor Jaty Ho Ye Tum Acha Nahi Kerty..
Hamara Dil Dukhaty Ho Ye Tum Acha Nahi Kerty..
Kaha Bhi Tha Mohabbat Hai, Mohabbat Hi Usy Rakho,,
Tamash Jo Banaty Ho Ye Tum Acha Nahi Kerty..
Uthaty Ho Sar-e-Mehfil Falak Tak Tum Hamen Lekin,,
Utha Ker Jo Giraty Ho Ye Tum Acha Nahi Kerty..
Koi Jo Puch Le Tum Se K Rishta Kiya Hai Ab Hum Se,,
To Nazron Ko Jhukaty Ho Ye Tum Acha Nahi Kerty..
Bikhar Jaaen Andheron Me Sahara Tum Hi Dety Ho,,
Magar Phir Chor Jaty Ho Ye Tum Acha Nahi Kerty..!
By:
Naila Soomro
Send To Mobile
-
Ghazal
Kabhi Ay Haqiqat e Muntazir Nazar Aa Libas e Mizaj Me,
K Hazaro Sajday Tarap Rahy Hen Meri Jabeen e Naaz me..
Tu Bachaa Bachaa K Na Rakh Isay' Tera Aaina Hai Wo Aaina,
K Shikasta Ho To Aziz tar Hai Nigah e Aaina Saaz Me..
Na Kahin Jahan Me Aman Mili’ Jo Aman Mili To Kahan Mili,
Mere Jurm Khana Kharab Ko’ Tere Ufuway Banda Nawaz Me..
Na Wo Ishq Me Rahin Germian’ Na Wo Husn Me Rahi Shokhian,
Na Wo Gaznawi Me Tarap Rahi’ Na Wo Kham Hai Zulf e Ayaz Me..
Jo Me Sar Basajda Hua Kabhi’ To Zameen Se Aany Lagi Sada,
Tera Dil To Hai Sanam Aashna’ Tujhe Kia Milega Namaz Me..
(Allama-Iqbal)
By:
Khalil Ur Rehman
Send To Mobile
-
Heart Touching Ghazal
Hum Jo Pohnchy Sar-e-maqtal, To Ye Manzar Dekha.....
Sab Se Ooncha Tha Jo Sar, Nook-e-sina Par Dekha,
Hum Se Mat Pooch K Kb, Chand Ubharta Hai Yahan......
Hum Ne To Suraj Bhi, Tere Shehar Me Aa Kr Dekha,
Pyaas Yaroon Ko Ab, Is Mor Pe Le Aayi Hai.......
Rait Chamki To Yeh, Samjhe K Samandar Dekha,
Itna Be'his Tha K Pighalta, Hi Na Tha Baton Se.......
Admi Tha K Trasha Huwa Koi Pathar Dekha,
Dukh Hi Aisa Tha K, Roya Tera Mohsin.....
"Warnaa"
Gham Chupa Kar Osay Hanstay Huwe Aksar Dekha.
By:
Khalil Ur Rehman
Send To Mobile
-
Ghazal
Nazr~e~mohabt Ka Kya Silaa Chahte Ho,
Dil Chahte Ho Ya Meri Jaan Chahte Ho,
Parwa Nhi Anjam~e~mohbt Ab Jo Bhi Ho,
Bus Ab Faisla Suna Do Jo Tm Chahte Ho,
Phoolon Ki Gali Ho Ya Ho Kanton Ki Diwaar,
Le Jao Sanam Wahan Jahan Tm Chahte Ho,
Bewafa Tum Nhi To Khamosh Kiun Ho,
Dost
Ye Lo.-._.-.
`-.Dil Ye Jaan Bhi Lo. Ab Btao Aur Kia Chahte Ho.....?
By:
Khalil Ur Rehman
Send To Mobile
-
Koi To Aisa Mila Kery
Koi To Aisa Mila Kery,,
Jo Mily To Sidha Nikah Kery..
Na Mangni Ho Na Phone Kery,,
Na Mila Kery Na Gila Kery..
Na Waday Hon Na Qasmen Hon,,
Na Dunya Ki Sab Rasmen Hon..
Wo Jaye Ghar Aur Baat Kery..
Baraat Me Uski Behnen Hon,,
Ammi Hon Aur Uske Abbu Hon..
Sab Hum Dono Per Razi Hon..
Koi To Aisa Mila Kery,,
Jo Mily To Sidha Nikah Kery..!
By:
Maha Abro
Send To Mobile
-
Din Raat Aise Hen
Agar Koi Puchay Tum Se..
K Ab Halaat Kese Hen.?
Tumhare Din Raat Kese Hen.?
Kesi Guzar Rahi Hai.??
Faqat Itna Kehna Tum..
Suno..
Kabhi Sagar Kinaray Par..!!
Kisi Machli Ko Dekha Hai.??
Usay Lehrain Kinary Tak To Laati Hen
Magar Phir Chorr Jaati Hen.!!
Mere Halaat Aise Hen
Mere Din Raat Aise Hen..!!
By:
Khalil Ur Rehman
Send To Mobile
Submit Your Comments: