Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Daughter to Father
"GREAT POEM"
(Daughter to Father)
Mujhy itna piyar na do Baba
Kal jitna mujhy naseeb na ho..
Ye jo matha chuma kerty ho ,
Kal is per shikan ajeeb na ho..
Men jab bhi roti hun Baba,
Aap ansu pocha kerty ho,
Mujhy itni door na chorr ana,
Men roun or aap qareeb na ho...
Mere naz uthaty ho Baba,
Mere laad uthaty ho Baba,
Meri choti choti khuwahish per,
Aap jan lutaaty ho Baba,
Kal aisa ho ik nagri men,
Men tanha aap ko yaad karun,
Or ro ro ker feryaad kerun,
"Ay Allah" Mere Baba sa,
Koi piyar jatany wala ho,
Mere naz uthany wala ho...!!
.
.
.
Allah Pak tamam betiyon k naseeb
Bohat bohat achay karen..
Aameen
By:
Naghma Khan
Send To Mobile
-
Raaston ki marzi hai
Rok len ya barhny den
tham len ya girny den
Wisl ki lakeeron ko
Tor den ya milny den
Raaston ki marzi hai
Ajnabi koi la ker
Hamsafar bana dalen
Saath chalny walon ki
Dhool tak ura dalen
Ya musafaten saari
Khaak me mila dalen
Raaston ki marzi hai
Be nishan jazeeron per
Bad guman shehron me
Be zuban musaafir ko
Jis taraf bhi bhatka den
Raaston ki marzi hai
Be zameen logon ko
Be qaraar aankhon ko
Bad naseeb qadmon ko
Jis taraf bhi le jaaen
Raaston ki marzi hai
By:
Sumaira Malik
Send To Mobile
-
Wo bakhshta hai Gunah e Azeem bhi lekin
Wo bakhshta hai Gunah e Azeem bhi lekin,
Hamari choti si Neki sambhal rakhta hai..
Hum Usay bhool jatay hen roshni me,
Wo tareeki me bhi khayal rakhta hai..
Jab kabhi dair se lotun to meri Maa ki tarha,
Wo mery Rizq ka hissa nikaal rakhta hai..
Gharon me jin k diya bhi nahi hai, un kliye,
Fiza me Chan Taray uchal rakhta hai..
Mohabbat apnay bandon se kamal rakhta hai,
Wo Allah hai jo hum sab ka khayal rakhta hai...
By:
Raheel Ahmed
Send To Mobile
Submit Your Comments: