Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS

Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers. This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.

Latest Urdu Poetry SMS:

  • phir kisi yad nay shab bhar kay jagaya
    phir kisi yad nay shab bhar kay jagaya mujh ko
    Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko

    Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
    Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

    Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
    Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

    Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
    Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

    Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
    Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

    Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
    Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko

    Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
    Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko
    kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
    Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko.


  By: musarat   Send To Mobile
  • Hum woh nahi jo ghum ka fasana bana detay
    Hum woh nahi jo ghum ka fasana bana detay hein
    hum to har bar dukhoon kodil mein jaga detay hein
    Ab to aadat si ho gai hai ghum sehnay ki
    makam ronay ka bhi hoto Muskura detay hein


  By: musarat   Send To Mobile
  • Tum meri Ankhon k teawer
    Tum meri Ankhon k teawer
    na Bhala paogay.

    An kahi Bat ko samj pao gay
    to yad Aaon ga.

    Aaj to mehfil yaaraan pe ho magroor Bahot.

    Jab kabhi toot k Bikhro gay
    to yad Aaonga.

    Ab to ye AshaQ main honto
    se chura leta hon.

    Hath se khud inhain puncho
    gay to yad Aaonga.

    Muje kho ker,hadsay Aaingay jiewen me to tum ho gay Nadhaal .

    Kisi dewar ko thamo gay to
    yaad Aaon ga.


  By: musarat   Send To Mobile


  By: musarat   Send To Mobile
  • Aj phir yad teri ai hai
    Aj phir yad teri ai hai,
    Aj phir raat cut na paye gi,
    Aj phir nain mere barsain ge,
    Aj phir neend ruth jay gi,
    Aj phir dil tuje pukare ga,
    Aj phir aas toot jaye gi


  By: musarat   Send To Mobile
  • Tujahy kiya khabar Teri yaad
    Tujahy kiya khabar Teri yaad ney hamien Kasey kasey sata diya,
    Kabi khalwato mein hasa diya Kabi mehfilon mein rula diya.
    Kabi yon howa Teri yaad mein Namaz apni kaza hoi,
    Kabi arzo ney teri Mujahy meray rab se mila diya.


  By: musarat   Send To Mobile


  By: musarat   Send To Mobile
  • Tum Bhool
    Tum Bhool
    Kar
    DeKho Hume

    Ek Tanhai Tumhe
    Har Pal
    SataYegi,

    Jab Bhi Sochoge
    Kisi Ke Bare Me,

    Yaad Humari
    Khud
    Hi Aa Jayegi


  By: musarat   Send To Mobile
  • sard mausam ka mazaaj kitna alag sa hay
    sard mausam ka mazaaj kitna alag sa hay
    taveel raat main intazaar kitna alag sa hay
    dhund bani naqab, aur chupa lia sitaron ko
    unki tanhaai ka ab ihsas kitna alag sa hay


  By: musarat   Send To Mobile
  • Koi Darr Nahi Khulne Deta
    Chashm Hairat Pe Koi Darr Nahi Khulne Deta
    Aankh Khul Jaye Toh Manzar Nahi Khulne Deta

    Ek kwahish Mujhe Pasti Se Uthati Hai Magar
    Ek Dar Hai Jo Mere Par Nahi Khulne Deta

    Hath ki Saari Lakeerein Hain Jazeeroun Se Bhari
    Aur Jazeeroun Ko Samander Nahi Khulne Deta

    Taa Naa Khul Jaye Koi Nuqs Pass-E-Naqshgiri
    Aaiyena Aks Ke Ander Nahi Khulne Deta

    Koun Jaane Kise Maloom Haqeeqat Kya Hai
    Bhed Apna Woh Kisi Par Nahi Khulne Deta

    Ghair Leta Hai Muheet-E-Gham Laahasil Me
    Phir Koi Raasta Bahar Nahi Khulne Deta

    Phair Deta Hai Kabhi Mouj-Balaa Qaiz ka Ruqq
    Aur Kabhi Aag Ka Johar Nahi Khulne Deta

    Dekh Par Qaak Nasheenoun Ke Khudaiye Dawe
    Tu Agar Daftar-E-Mehshar Nahi Khulne Deta.


  By: AsiM   Send To Mobile
Urdu Poetry SMS By Page: << 235236237238239240 241242243244245 >>

Submit Your Comments: