Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,
Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,
Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,
Tujh Ko Gilla Raha Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,
Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili........ ..!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Kaha usne bharosa dil pe itna nai karte
Kaha usne bharosa dil pe itna nai karte
Kaha meine mohabbat mein kabhi socha nai karte
Kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
Kaha meine jab tum ho to ham kuch dekha nai karte
kaha usne main tum se door hun lakin tumhara hun!
kaha maine k sapne dil ko behlaya nai karte
kaha usne teri chahat tujhe ruswaiyan de gi
kaha maine shohrat se ghabraya nai karte,
Kaha us ne samajh jao,samajh jao aye mere dost,
Kaha main ne,deewane ko samjhaya nai karte!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta..
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..
Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhe?
main kehta hon.. muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti..
Woh kehti hai k janaa! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai..
Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi..
Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
By:
musarat
Send To Mobile
-
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Kia Khaber Thi Is Qadar Na'ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
By:
musarat
Send To Mobile
-
kbi moam ban k pigal gaya,
kbi moam ban k pigal gaya,
kabi girtay girtay sambhal gay
wo ban k lamha guzar gaya
meray paas se nikal gaya
usay rota b to kis tarah
k wo shakhs itna ajeeb tha
kabi tarap uta meri aah se
kabi ashk se na pighal saka
sar e rah mila wo aga kabi
to nazar chuka k Guzar Gaya
wo utar Gaya meri ankh se
mere dil se Q na utar saka
wo chala Gaya jahan Chor k
main wahan se phir na palat saka,
wo sambhal Gaya tha magar,
main bikhar k phir na simat saka
By:
musarat
Send To Mobile
-
Kuch lamhe Novembar k
Kuch lamhe Novembar k,
Hum ne yun guzare hain,
Mosam uski yadon k,
Tasvir mein utare hain..
Kapkapate honton se,
Dagmagati dharkan se,
Hum ne apne KHALIQ se,
Bus dua ye mangi hai,
Ab k bar sawan mein,
Jab b badal utren to,
Bus yehi tamana hai,
Nafraton ki barish mein,
Dushmano ki sazish mein,
Bus isi guzarish mein,
Zindagi ko jeene ka,
Ikhtiyar mil jaye,
Ae mere KHUDA sub ko,
Apna pyar mil jaye....!Aamen
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: