Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Mujhy Ye Zid Nahi
Mujeh Ye Zid nahi mere Galay ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao
Bohat Jaldi Samajh me aany lagty ho Zamane ki
Bohat Aasan ho, thory Bhot dushwaar ho jao
Mulaqakton me Wafa ls liye hona zaruri hai
K Tum ik Din Judai k liye Tayyar ho jao
Me Kesi Chal-chalati Dhoop k Sehra Se aya hun
Bas ab Esa karo, Tum Saya-e-Dewaar ho jao
Tumhary paas deny ky liye jhuti Tasalli ho
Na Aay Esa Din, Tum is Qadar Nadaar ho jao
Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hen
Meri itni Dua hai Kash Tum Funkaar ho jao..!
By:
Husnain Nawaz
Send To Mobile
-
Tamasha
Tanhaai Me Ajeeb Zamane Ki Wafa Dekhta Raha,
Umar Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha.
Kahin Na Kahin To Badal Hi Jaate Hen Silsile,
Magr Me Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha.
Jaane Q Qatraty Hen Log Mujhe Milne Se,
Kal Shab Dair Tak Aaina Dekhta Raha.
Pani Mangte Mangte Mere Honth Pathar Ho Gaye,
Wo Shakhs Mashkiza Liye Khara Dekhta Raha.
Be-gunah Tha Phir Bhi Sar Jhukaye Hue,
Sitamgar K Sitam Ki Inteha Dekhta Raha.
Umar Bhar Mohabbat Ka Kuchh Yun Silsila Raha,
Me Usey Aur Wo Duniya Dekhta Raha.
Kahunga KHUDA Se Youm-e Hisaab Najeeb
K Zamana Meri Barbaadi Ka Tamasha Dekhta Raha.!
By:
Naila Soomro
Send To Mobile
-
Tere Bin ab Jeena kya
Tere Bin ab Jeena kya,
Manzil kesi Safeena kya,
Guzri zindagi Barsat me,
Ab nahi janti meena kya,
Rooh tak zakhmi hue Hum,
Teer ke liye Dil ya Seena kya,
Adat thi Pathar tarashne ki,
Milega ab koi Nagina kya,
Lamha lamha guzra intzaar ka ,
Milega ab woh Sukoon-e-rooh kya,
Taqdeer ke Khel bhi nirale,
Chheena bhi to Chheena kya,
Pi chuka Aasman Talkhiyon ko,
Ab bhi Baki Zehar Pina kya..!
By:
Naila Soomro
Send To Mobile
-
Kuch Panchhi Jhund me Urty Hon
Kuch Panchhi Jhund me Urty Hon,
Aur Rasta Bhi Kuch Mushkil Ho,
Kuch Door Ufaq Pe Manzil Ho,
Ik Panchhi Ghayal Ho Jaye,
Aur Be-Dam Ho Ker Gir Jaye,
To Rishty-Naaty Piyary Sab,
Kab Uski Khatir Rukty Hen?
Is Duniya Ki Hai Reet Yehi,
Jo Sath Chalo To Sath Bohat,
Jo Ruk Jao To Tanha Ho..!!
By:
Sumaira Malik
Send To Mobile
Submit Your Comments: