Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Aana meri qabar par do phool chadha
Aana meri qabar par do phool chadha jana,
Rona na aaye muskarake chale jana,
Meri qabar par ek baar zaroor aana,
Magar shart hai k aansoon na bahana,
Taklif hogi ro0oh ko bhi aansoon jo aap k nikalenge,
Rooh royegi meri rooh ko na tadpaya karna,
Tere khuwabon main aaya karon zaroor,
Kabhi yaad karke meri mohabbat ko azmaya karna,
Meri qabar pe phool na chadhana aansoovon ke,
Bas aakar qabar pe apni mohabbat ka saya karna,
Meri dua hai k tera ghar khusboo se bhara rahe,
Tum khushi ki har mehfil main jaya karna,
Meri yaad main na khona udaas hokar,
Apne humsafar ki aagosh main sojaya karna,
Kabhi rokar mat pukarna mujhe,
Main wanha se wapis nahi avunga.."
By:
musarat
Send To Mobile
-
Udaas tehreer parh k meri, mery sanam
Udaas tehreer parh k meri, mery sanam muskura na dena,
Ye aakhri khat m likh rahi hon khayal karna jala na dena,
Guzar Rahi hy tumhari kaise bicharr sabab baney thy, kisi bashar ko bata na dena,
Mein mar b jaon tu muskurana, ehsas_e_gham ki na choat khana,
Jo qurb_e_gham se Nigahain bheegen to Rukh se aanchal hata na dena,
Lahoo sy tehreer kar rahi hon mein apni saari kahani MOHSIN,
Jo phaar b do to paas Rakhna Hawa mein tukrey ura na dena..!!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Meray Shooq pay pora utar
Meray Shooq pay pora utar, wo zooq to aata kar
Meray Khuda mujhey tu, ya fun bhi aata kar
Teri naimatien hazar hain, kesey main shukar karoon
Mujhey wo aada bata dey, jissay tu pasand kar
Tu nawaz dey, Tu qaraar dey, Tu rahmatien hazar dey
Phir main tera shukar karoon, Mujhey ya sift aata kar
Tu Raheem hai, Tu Kareem hai,Teri Shaan sab say Azeem hai
Ya khuda Rahem kar, Main Sajda Karoon tu qabool kar...
Main gunha karoon, toba karoon, phir teray samnay jhuka karoon
main phir tera shukar karoon, Tu phir mujhey maaf kar..
By:
musarat
Send To Mobile
-
Lazim tha ab ke zauq-e-tamasha ko
Lazim tha ab ke zauq-e-tamasha ko dekhti
kab tak tumhari Aankh se duniya ko dekhti
Toofaan ke jalu mein meri be baza'ati
basti ko dekhti kabi dariya ko dekhti
Bass dhoop aur reat hai aur piyaas ka safar
kya dil ke samne kisi sehra ko dekhti
Uss chashm-e-sard muher ke sab rang dekh ker
kya ishtiyaq-e-arz-e-tamna ko dekhti
Uss shehr-e-beniyaaz mein jab tak raha qiyaam
hasrat rahi ke chashm-e-shanasaa ko dekhti.!!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Sare sapne kahin kho gaye
Sare sapne kahin kho gaye ,
jane hum kya se kya ho gay
Tune muzase kahi thi jo baten
yaad hai humko woh sari raten
chandani ko bhi hum pi gaye
jane hum kya se kya hogaye
na ye mera hai,na hai tumhara
ye lakironka hai khel sara
tmse milke bhi na mil gaye
jane hum kya se kya ho gaye
Rat itni ke sona bhi mushkil
jaan itni ke jina bhi mushkil
abhi yahan the kahan kho gaye
jane hum kya se kya hogaye
phoolonki khushboo me mahek thi tumhari
tasawwoor me raheti thi taswir hamari
fija me maikhane khali hogaye
taswir se sare rang ud gaye
jane hum kya se kya ho gaye
dhadkan chal rahi hai
magar saans ruk gayi hai,
kadam chal rake hai
magar jindagi ruk gayi hai
bagair mere jee lete ho tum
dekhakar mere sukun kho gaye
jane hum kya se kya ho gaye...........
By:
musarat
Send To Mobile
-
Meri zindgi mein kisi k pyaar ki kami
Meri zindgi mein kisi k pyaar ki kami si rahi,
Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Har koi mila mujhse,Par wo apnapan naa mila,
Bhari mehfilo mein bhi hamein tanhai si lagi,
Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Ishe kahu apni kismat ya waqt ka fair kahu,
Dushmano ki to kya,Dosto ki nigaah mein tavjjo naa rahi,
Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Raha tha jo kabhi mere dil mein jaan bankar,
Usko hi meri surat ab anjaani si lagi,
Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Jiski talaash mein bhatakta fira har jagah,
Wo khushiya humse hardum roothi si rahi,
Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
Meri zindgi mein kisi k pyaar ki kami si rahi,
Tamaam umar mohabbat se meri dushmani si rahi.
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: