Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete
By:
musarat
Send To Mobile
-
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…
Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..
Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou…
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……
Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa…
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay
By:
musarat
Send To Mobile
-
Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !
WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !
Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !
Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !
Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”,
Yah uski bezubaani ka sila hai !!
By:
musarat
Send To Mobile
-
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ke
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k
Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k
Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k
By:
musarat
Send To Mobile
-
Us ke mehwar se niklu to dunya nazar aye
Us ke mehwar se niklu to dunya nazar aye saqi
phir bina uske ye Dil chain na paye saqi
mohabbat to hogayee hum ko us pathar se lekin
ab deko hum ko raas aaye na aaye saqi
wo mil gaya he to lagti he dunya Qadmo me
ye dewangi Dewane ko kaha lejaye saqi
me uski yad se ik pal b ghafil ho nahi paata
phir kese mumkin he wo mujhe bhool jaye saqi
humsa mukhlis usay na milega zamaane me
usay kaho is Dil ki lagi ko Dillagi na banaye saqi
By:
musarat
Send To Mobile
-
TAB""TuM""LOT
""AANA
Jab mosum
TAB""TuM""LOT
""AANA
Jab mosum piyara lagta ho
Jb nelay badal chaye hon
Jb rim jhim rim jhim barish ho
Jb thora thora sawan ho
Jb Dil kahin na lagta ho
Aur dard B dil me jagta ho
Jb koi tmhare pas na ho
Jb khushi ki koi as na ho
Jb dil ko lagti koi bat na ho
Jb saary tum ko chor jaen
Jb taary sath B chor jaen
Aur koi tumhen na bhata ho
Tub dhop kenary mut chalna"
Tum pass hamary"LOT" ana
Tum pas hamary"LOT" ana.
By:
musarat
Send To Mobile
-
phir usi raahguzar par shaayad
ha
phir usi raahguzar par shaayad
ham kabhii mil saken, magar shaayad
jaan pehchaan se bhii kyaa hogaa
...
phir bhii ai dost ghaur kar, shaayad
muntazir jin ke ham rahe un ko
mil gaye aur ham-safar shaayad
jo bhii bichhre hain kab mile hain Faraz
phir bhii tuu intizaar kar shaayad
By:
musarat
Send To Mobile
-
phir usi raahguzar par shaayad
ha
phir usi raahguzar par shaayad
ham kabhii mil saken, magar shaayad
jaan pehchaan se bhii kyaa hogaa
...
phir bhii ai dost ghaur kar, shaayad
muntazir jin ke ham rahe un ko
mil gaye aur ham-safar shaayad
jo bhii bichhre hain kab mile hain Faraz
phir bhii tuu intizaar kar shaayad
By:
musarat
Send To Mobile
-
Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra na
Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna
Gawahi apnay dil se lo tumhara dil kiya kehta hai
...
Mujhey jhoota nahi likhna mujhey sacha nahi likhna
May uski yaad may gum hoon ke apne aap may gum hoon
Mujhey mehfil nahi likhna mujhey tanha nahi likhna
Ye na ho tum kabhi us ko mitaa na chaho..na mittay
...
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: