Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
Mere Lafz Ki Lari Mein
Mere Lafz Ki Lari Mein Aks-E-Jamal Us Ka Tha
Gazal Meri Thi Magar Dil Mein Khiyal Us Ka Tha,
Mein Shayer To Na Tha Magar Us Ne Mujhe Bana Diya
Aankh Sharabi " Hont Sagar " Chehra Kamal Us Ka Tha,
Mein Kese Maan Loon Usy Mujh Se Muhabbat Nahi
Bicharty Waqat Meri Tarah Ajab Haal Us Ka Tha,
Mujhe Apny Ujar Jany Se Nahi Tha Sarokar Koi
Mein Afsurda Es Liye Tha Keh " Mujhe Malal Us Ka Tha,
Tanhaie Mein Bhi Jo Usy Mein Na Keih Saka
Bhari Mehfil Mein Keih Geya Wo" Ye Kamal Us Ka Tha !
By:
musarat
Send To Mobile
-
Tere Tabsary Hain Bekhabar
Tere Tabsary Hain Bekhabar Meri Dastan-E-Hayat Se
Tu Keh Raha Hai Dil Jisy Wo Meri Khwuhishon Ka Mizaar Hai,
Mere Raston Mein Jo Aa Geya Mere Qafly Ko Jo Kha Geya
Wo Toofan To Kab Ka Guzar Geya Par Dil Mein Ab Tak Gubaar Hai,
Ay Mehrbaan Dost Sun Meri Mushkilon Ko Samajh Keh" Main
Teri Mohabbaton Ka Kya Karon Kisy Dil Pe Ab Ikhtiyar Hai,
Nay Maosamon Ko Bulao Mat Keh Mujhe Khushbuon Ki Talab Nahi
Meri Raah Rehny Do Khaar Khaar Mere Liye To Yehi Bahaar Hai,
Jo Nafraton Se Jhulas Geya Usy Dilse Saari Duwayein Do
Par Us Sitam-Zada Ka Kya Karein Jo Mohabbaton Ka Shikar Hai !
By:
musarat
Send To Mobile
-
Bin Tere Kese Ghum-E-Zeest Gawara Kar
Bin Tere Kese Ghum-E-Zeest Gawara Kar Lain
Es Se Behtar Hai Keh Dunia Se Kinara Kar Lain,
Sath Mumkin Nahi Chalna To Chalo Yoon Hi Sahi
Door Se Hi Tere Chehry Ka Nazara Kar Lain,
Aaj Tak Ho Na Saka Tu` To Hamara Lekin
Kiun Na Hum Khud Ko Meri Jan Tumhara Kar Lain,
Qurbatain Apne Muqadar Mein Nahi Hain Shayed
Kiun Na Hum Hijr Ko Qsimat Ka Sitara Lar Lain,
Mumkin Hai Wasi Keh" Phir Wo Na Rahain" Main Na Rahon
Un Se Keih Do Keh Mere Dard Ka Nazara Kar Lain !
By:
musarat
Send To Mobile
-
Yahi zindagi musibat yahi zindagi
Mile gum se apne fursat to sunaau’n wo fasana
Ki tapak padey nazar se may-e-eishrat-e-shabana
Yahi zindagi musibat yahi zindagi musarrat
Yahi zindagi haqeeqt yahi zindagi fasana
Kabhi dard ki tamanna kabhi koshish-e-madava
Kabhi bizliyo ki khawahish kabhi fikr-e-aashiyana
Mere kahkaho ke zadd par kabhi gardishey jaha’n ki
Mere aanshuo’n ki roo me kabhi talkhi-e-zamana
Kabhi mai hu tujhse naala kabhi mujhse tu pareshaa’n
Kabhi mai tera hadaf hu kabhi tu mera nishana
Jisey pa saka na ne zahid jisey chu saka na sufi,
Wahi teer chedta hai mera sooz-e-shayerana….~`
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: