Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
Us pe khul jati mere shauoq ki shidat sari
Us pe khul jati mere shauoq ki shidat sari
Dekhy hotey jo mere paon k chhale usney
Jis ka har aib zamany se chhupaya mein ne
Mery qisey sarey bazar uchhaley usney
Jab usey meri muhabbat pe bhrosa hi nahi
Kyoun diye meri wafaon k hawaley usney
Meri dam torti khawhish ka khyal aa na saka
Aapny arman hamesha hi nikaley us ne
Aik mera hi to haath na thama us ne
Warna girtey huye kitney hi sambhaley us ne...
By:
musarat
Send To Mobile
-
Khof-e-Dunia se Mere Pas Na aane Wale
Khof-e-Dunia se Mere Pas Na aane Wale
Jan Rakhte Hain Hatheli pe Nibhane Wale
Meri Ruswai Me Gheron ka koi Dosh Nahi
Is Me Shamil Hain Mere apne Chahne Wale
Kitni Nadan Hon is aas pe Me Zinda Hon
Loat Aahenge Mujhy Chorr k Jane Wale
Ab kahon Tumko Me tanha To Bhala Kese Kahon?
Kar k Ehsan Sar-e-Aam Jatane Wale
Ab To Rasta Hay
Na Manzil Hay
Na Shanasa Hay koi
Shukriya TMHARA Mujhy is Morr Pe Lane Wale.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Hum Bhi Shakista Dil Hain`
Hum Bhi Shakista Dil Hain` Pareshan Tum Bhi ho
Andar Se Reza Reza Meri Jaan Tum Bhi Ho,
Hum Bhi Hain Aik Ujry Huy Shehr Ki Tarah
Aankhain Bata Rahi Hain Keh"Wiraan Tum Bhi Ho,
Darpesh Hai Humain Bhi Kari Dhoop Ka Safar
Say Ki Aarzu Mein Pareshan Tum Bhi Ho,
Hum Bhi Khizan Ki Sham Ka Aangan Hain Be-Chirag
Bailain Hain Jis Ki Zard Woh Dalaan Tum Bhi Ho,
Jese Kisi Khiyal Ka Saya Hain Do Wajood
Hum Bhi Agar Qiyas Hain" Imkaan Tum Bhi Ho,
Mil Jain Hum To Kesa Suhana Safar Katy
Ghayl Hain Hum Bhi " Sokhta Samaan Tum Bhi Ho !
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: