Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS

Our Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide, Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also Submit Sad Poetry SMS here.

Latest Sad Poetry SMS:

  • Main Rone Se Darta Hun
    Main Rone Se Darta Hun
    Juda Hone Se Darta Hun,

    Meri Ankhen Batati Hain K

    ...Mein Sone Se Darta Hun,

    Meri Ungli Pakar Lena
    Mujhe Tanha Nhi Karna
    Ye Duniya Ek Mela Hy
    Tumhain Khone Se Darta Hun.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Kabhi Kuch Soch K Likhna
    Kabhi Kuch Soch K Likhna
    Kabhi Kuch Soch K Parhna
    Ye Na Mumkin Si Koshish He
    Muhabbat Soch K Karna!

    Kisi Ka Dilruba Chehra Aur
    Us Ki Dill Nasheen Ankhen…

    K

    ...Jis Ko Dekh K Jeena
    Usi K Naam Pe Marna
    Ye Na Mumkin Si Koshish He
    Muhabbat Soch K Karna!

    Khayalon Me Bana Lena
    Kisi Ka Akks Dhere Se
    Chura K Rang Sapnon K
    Kisi Ki Ankh Me Bharna

    Ye Na Mumkin Si Koshish He
    Muhabbat Soch K Karna!


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Bohat Veeran Hai Dil Mera
    Bohat Veeran Hai Dil Mera,
    Koi Mehfil Jamao Naa...!

    Wisal-e Jaan Ki Yaadon Ka
    Koi Qissa Sunao Naa.!

    Jo Sapne Hum Ne Daikhy Hain
    Hamesha Sath Rehne K...
    Un Haseen Khawabon Ko Haqeeqat
    Tum Banao Naa...!

    ...Tumhary Bin Ye Lamhay
    Azab-e-Jaan Se Lagtay hain
    Inhain Aasan Banao Naa,
    Tum Phir Lout Aao Naa.!!

    Nigaahon Se Bulana,
    Aur Phir Anjan Ban Jana
    Unhi Zalim Adaaon Se Humain
    Phir Tum Satao Naa,
    Tum phir Lout Aao Na..!!


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Muhabbat Agar Mil Bhi Jaye
    YEh DUnya Ek Lamhe Main
    ..Tumhe Barbaad Kar Degi,
    -
    -
    Muhabbat Agar Mil Bhi Jaye
    ..To Usey Mash-hoor Mat Karna..!!


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Tum Pe Marte Hain To Kia
    Itne Zalim Na Bano...
    Kuch To Murawat Seekho,
    ..
    ..
    Tum Pe Marte Hain To Kia
    Maar He Dalo Gey Hamain .. !!


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Aaj Kal K Pholoon Se To Kaante
    *. . .Aaj Kal K Pholoon Se To Kaante Hee Achay Hain,

    DOsT

    Jo Khusboo to Nahi Detay Magar Daman to Pakar Letay Hain. . .*


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Usey Kehna K Mere Marny
    Usey Kehna K Mere Marny
    Par Aansoo Na Bahay.....!


    K Mujhe Apni Mout Sy Ziada
    Usky Aanso Ka Dukh Ho Ga.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Qareeb Maut Khari Hai Zara Thahar Jao
    Qareeb Maut Khari Hai Zara Thahar Jao
    Qazaa Se Aankh Lari Hai Zara Thahar Jao

    Thaki Thaki Si Fazaayen Bujhe Bujhe Taare
    Bari Udaas Ghari Hai Zara Thahar Jao

    Nahi Ummeed Ki Ham Aaj Ki Sahar Dekhen
    Ye Raat Ham Pe Kari Hai Zara Thahar Jao

    Abhi Na Jao K Taaron Ka Dil Dharakta Hai
    Tamam Raat Pari Hai Zara Thahar Jao

    Phir Is K Bad Kabhi Ham Na Tum Ko Rokenge
    Labon Pe Saans Ari Hai Zara Thahar Jao

    Dam-e-Firaaq Me Ji Bhar K Tum Ko Dekh To Lon
    Ye Faisale Ki Ghari Hai Zara Thahar Jao.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Woh Manzilen Bhi Kho Gai
    Woh Manzilen Bhi Kho Gai,
    Woh Raste Bhi Kho Gaye.

    Jo Aashna Se Log The,
    Woh Ajnabi Se Ho Gaye.

    Na Chand Tha Na Chandni
    AJeeb Thi Woh Zindagi,

    Chiraag The K Bujh Gaye
    Naseeb The K So Gaye.

    Yeh Pochte Hain Raaste
    Rukay Ho Kis K Wastay,

    Chalo Tum Bhi Ab Chalo
    Woh Meherbaan To Kho Gaye.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Huns Huns K Gham Sehta Tha
    Tamam Umar Huns Huns K Gham Sehta Tha,

    Khushyon Ko Aksar Tarasta
    Rehta Tha.

    Elaan-e-Maut Hua To
    Logon Ne Ye Kaha,

    Acha Hua K Mar Gaya
    Aksar Udaas Rehta Tha.


  By: AsiM   Send To Mobile
Sad Poetry SMS By Page: << 575859606162 6364656667 >>

Submit Your Comments: