Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS

Our Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide, Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also Submit Sad Poetry SMS here.

Latest Sad Poetry SMS:

  • Logo Ne Mere Gham Ka Tamasha
    Logo Ne Mere Gham Ka Tamasha Bana Dia,
    Mere Chaman K Sath Mera Dil Bhi Jala Dia.


    Apno Ne Mere Pyar Ka Kuch Yun Sila Dia,
    Ulfat K Badly Khoon K Aansu Rula Dia.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Kis Kis Ko Roko Gey Tum
    Kis Kis Ko Roko Gey Tum
    Kis Kis Pe Hath Uthao Gey,
    ...
    Dil Jab Mujhe Yad Kare Ga
    Kese Dil Ko Samjhao Gey.
    ~*~
    Jis Ki Chaaho Gey Jab
    Chaaho Gey Woh Chahat,
    ...
    Tumhe Mil Jayegi Par Jo Chahe
    Meri Tarha Woh Dil Kahan Se Laoge.
    ~*~
    Abhi Loat Aao Abhi Manzil
    Tum Ko Pukaarti Hai,
    ...
    Kahin Or Palto Gey To
    Raste Tak Bhool Jaoge.
    ~*~
    Chhor To Diya Mujhe Par
    Kabhi Yeh Socha Bhi Tumne
    ...
    Ab Kabhi Jhoot Bola To
    Kis Ki Qasmein Khao Gey.
    ~*~
    Jab Jab Wafa Ka Zikr Kia
    Tab Tab Tum Hans Jate The,
    ...
    Par Ab Wafa Ka Naam Lia To
    Hanste Hanste Ro Jaoge.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Woh Khushi K Lamhey Kahan Hain
    Woh Khushi K Lamhey Kahan Hain Ab,
    Mere Dard-o-Aah Me Dhal Gaye.

    Raah-e-Shoq Me The Jo Humsafar,
    Woh Nigah Apni Badal Gaye.

    Koi Dekhe Gham Ki Yeh Teergi,
    Shab-e-Taar Ban Gai Yeh Zindagi.

    Kabhi Yaad Unki Jo Aa Gai,
    To Charagh Palkon Pe Jal Gaye.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Woh Ek Husn Jo Is Qalb-e-Daaghdar
    Woh Ek Husn Jo Is Qalb-e-Daaghdar Me Hai,
    Usi Ki Chhoot To Aaina-e-Bahaar Me Hai.

    Yeh Faiz-e-Ishq Hai Tera K Mere Naam K Sath,
    Wafa Ka Zikr Bhi Dunya-e-Aitbaar Me Hai.

    Sitam Sheyaar Tujhe Kuch Khabar Bhi Hai Uski,
    Mareez-e-Hijr Tera, Tere Intezaar Me Hai.

    Mujhe Yeh Dar Hai Zamana Na Dekh Le Tujh Ko,
    K Tera Aks Meri Chashm-e-Ashkbaar Me Hai.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Na Nazar Nazar Me Jalwe
    Na Nazar Nazar Me Jalwe
    Na Qadam Qadam Pe Manzil,
    Woh AJeeb Zindagi Thi
    Gham-e-Ashiqui Se Pehle,

    Use Zindagi Kahon Kyun
    Woh Jamood-e-Mustaqil Tha,
    Jo Guzar Gaya Zamana
    Teri Dosti Se Pehle.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Meri Chup Ne Usko Rula Diya
    Mery Kam Sukhan ka ye Hukm Tha,

    K Kalaam us sy Main Kam Karoon,

    Mery Hont Aisy Silay k Phir,

    Meri Chup Ne Usko Rula Diya!


  By: Fuzail   Send To Mobile
  • Ik Shakhs Se Muhabbat Ki
    Bus Itna Jaan lo Ik Shakhs Se Hum Ne Muhabbat Ki.


    Hamary Tootny K Khail Dost, Tum Na Samjho Gey.


  By: GetDiscountCoupon   Send To Mobile
  • Har Nami Me Kuch Kami To Rahegi
    Har Nami Me Kuch Kami To Rahegi,
    Aankhein Thori Shabnami To Rahegi.
    ~*~
    Zindagi Ko Aap Kitna Bhi Sanwariye,
    Bin Hamare Koi Na Koi Kami To Rahegi.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha
    Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
    Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe
    ~*~
    Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
    Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe
    ~*~
    Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
    Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
    ~*~
    Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
    Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe.!!!


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Ankhon Me Jo Tehreerain Theen
    Ankhon Me Jo Tehreerain Theen!
    Honto pay vo bol na thay

    Hum thay us k pyar k aashiq!
    Bas hathon mein kashkol na thay

    Hum ne us ko toot k chaha!
    ye us ka haq tha lakin

    Wo b hum ko toot k chahey!
    Hum itnay “ANMOL” na thay.


  By: musarat   Send To Mobile
Sad Poetry SMS By Page: << 616263646566 6768697071 >>

Submit Your Comments: