Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
Abhi bhi waqt hai tum laut jao
Abhi bhi waqt hai tum laut jao,
Mujhe tum se muhabbat ho chali hai,
Bazaahir ek sukoon taari hai magar,
Dil main Qayamat ho chali hai,
Tumhary Naam se Phoolon k khilna,
Tumhara roz ka yun milna,
Tumhary Chand se chehray ko takna,
Meri aankhon ki aadat ho chali hai,
Abhi bhi waqt hai tum Laut jao,
Mujhe tum se muhabbat ho chali hai.
By:
Farhan Rajput
Send To Mobile
-
Bohat tootay huye hain hum
Bohat tootay huye hain hum,
Abhi dastak nahi dena,
Hamari aankh hai pur nam,
Abhi dastak nahi dena,
Mere yaaro abhi kuch din mere ahwaal mat pucho,
Abhi dil main hai thora ghum,
Abhi dastak nahi dena,
Shab-e-Tanhai main shayad tarapna hai bohat mujhko,
Abhi hai dard kuch maddam,
Abhi dastak nahi dena.
By:
Farhan Rajput
Send To Mobile
-
Tujhe chor bhi nahi saktey
Tujhe chor bhi nahi saktey,
Tere ho bhi nahi sakte,
Ye kesi be basi hai aaj hum ro bhi nahi saktey,
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi saktey,
Chupa skte hain, or na dikha sakte hain logon ko,
Kuch aisa dagh hai dil per jo hum dho bhi nahi saktey,
Ye kesa dard hai pal pal humhain tarpaye rakhta hai,
Kaha tha chor den gay nagar, phir ruk gaye,
Tumhain pa nahi saktay magar kho bhi nahi saktay.
By:
Farhan Rajput
Send To Mobile
-
Tumhara khat mila jana
Tumhara khat mila jana,
Woh tum ne jis main pucha hai,
K ab halaat kese hain?
Mere din raat kese hain?
Meharbani tumhari hai,
K tumne is tarha mujhse,
Mere halaat puche hain,
Tumhain sub kuch bata donga,
Mujhe itna bata do k,
Kabhi sagaar kinary per,
Kisi Machhli ko dekha hai?
K jisko lehrain pani ki,
Kinaray tak to laati hain,
Magar phir chor jati hain,
Mere Halaat aise hain.
By:
Farhan Rajput
Send To Mobile
-
Zalim tha woh...
Zalim tha woh aur zulm ki aadat bhi bohat thi,
Majboor thy hum bhi, Us se muhabbat bhi bohat thi,
Waqif he na tha Rasm-e-Muhabbat se woh warna,
Dil k liye thori si inayar bhi bohat thi,
Yun he nahi Mashhoor-e-Zamana qatil mera,
Us shakhs ko is funn main maharat bhi bohat thi.
By:
Farhan Rajput
Send To Mobile
Submit Your Comments: