Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
Mere sabher ka na le imtehaan tu
Mere sabher ka na le imtehaan tu
Meri khamoshiyon ko sada na de
Jo tere bagair na jee sake
Usse jeene ki dua na de
Tu aziz dil o nazar se hai
Tu qareeb rago jaan se hai
Mere jism o jaan ka ye fasla
Kahin waqt aur barha na de
Tujhe bhool ke bhi na bhoola sakon
Tujhe chah ke bhi na pa sakon
Meri hasraton ko shumar de
Meri chahaton ka sila na de
Woh tadap jo shola e jaan mein thi
Mere tan badan se lipat gai
Jo bujha sake to bujha isay
Na bujha sake to hawa na de.
By:
Rahim Shah
Send To Mobile
-
Benoor aankhon main
Benoor aankhon main koi khuab to de,
Meri beqarar raaton ka kuch hisab to de,
Tu khafa hai mujhse lekin phir b agar ho saky,
Mere in sawalon ka jawab to de,
Humne jis main likhe thy kuch wady,
Agar mumkin hai to meri woh kitab to de,
De nahi sakta agar pyar to aisa kar,
Gham de, Zehar de, ya sharab to de,
Jis main beh jae mere dil ki dunya,
Aisa koi in aankhon main Selaab to de,
Kabhi tum kaha karet they k aap achy hain,
Ab bura he sahi magar koi khitaab to de.
By:
Rahim Shah
Send To Mobile
-
Kitna bhi chaho
Kitna bhi chaho to na bhol paogay humain,
Jitna door jaogay utna nazdeek paogy humain,
Mita saktay ho to mita do yaaden meri,
Magar sapnon se juda ker pao gay humain?
By:
Dapper
Send To Mobile
-
Ajnabi hai to mere zehan main
Ajnabi hai to mere zehan main rehta kyon hai?
Woh jo paththar hai to sheeshon ka Maseeha q hai?
Woh hawa hai to guzar jaye hawaon ki tarah,
Woh Samandar hai to thehra rahy behta kyon hai?
Mere aangan main nahi koi umeedon ka gulab,
Phir ye mausam mere aangan main utarta kyon hai?
Jiske chehrey pe saji jhoot ki tehreerain hain,
Dil usi shakhs k wadon se behalta kyon hai?
Ye mera dil ye masoom ye anjaan sa dil,
Phir Naajanay tera naam se dharakta kyon hai.
By:
Fuzail
Send To Mobile
-
Tumhain yaad aayegi
Jab aankhon se aansu baras rahy hon,
Meri pagal muhabbat tumhain yaad aayegi,
Jab tanhai se dil ghabraye ga,
Jab tumhain akela pan satayega,
Jab koi khuab he na aayega,
Jab phool kitab main he reh jayega,
Meri pagal muhabbat tumhain yaad aayegi.
By:
Fuzail
Send To Mobile
Submit Your Comments: