Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
Kch Khd B Thy Afsurda Se
Kuch Khud Bhi Thay Afsurda se
Kuch Tum bhi Hamse Rooth gaye
Kuch Khud Bhi Zakham k Aadi thay
kuch Sheeshay hath se Choot gaye
Kuch khud Bhi thay Hassas bohat
Kuch Apnay Muqadar Roth gaye
Kuch tumko Such se Nafrat thi
Kuch Hamse Bolay na Jhoot gaye
Kuch logon ne Uksaya Tumhen
Kuch Apnay Muqadar Phoot gay
Kuch khud itnay Muhtaat na thay
Kuch Log bhi Hum ko Loot gaye
Kuch Talkh Haqaaiq thay itnay
K khwab hi Saray Toot gaye.
By:
Pieces
Send To Mobile
-
Mera Sath Chor do Gey
Mery Har Udas Pal Main,
Mera sath chor Jana
Ye kahan ki Ulfatain hain?
Ye kahan ki Dosti hy?
Tumhain Daikh kr Laga Tha,
Tumhi Zindgi ho meri,
Tumhi Bandgi ho meri
Tumhi Har Khushi ka saya,
Tumhi Saadgi ho meri
Mujhy kya khabar thi JANAA
Tum Yun Wafa karo Gay
Mery Har Udas Pal Main
Mera Sath Chor do Gey.
By:
Irfan
Send To Mobile
-
Kisey Pukarain Hum
AANSOO:
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain.
By:
Rehan
Send To Mobile
-
Larkiya Bewafa Nahi Hoti
Larkiyan Bewafaa Nahi Hoti
Woh To Majbooriyo Main Lipti Hain
Apnay Shiddat Bharay Khayalo Main
Apnay Ander Chupi Ek Aorat Main
Woh Hamesha He Darti Rehti Hain
Na to Jeeti Hain Na to Marti Hain
Larkiya Bewafaa Nahi Hoti
Per Hamesha hi Darti Rehti hain
Apni RASAM or RIWAJON Se
Anay Walay Naye Azabo Se
Zarorat Main Khilay Gulabo Se
Pyar Karti hain or Chupati Hain
Larkiyan Bewafaa Nahi Hoti
Kyo k Majboorio Mai Lipti Hain
Or har Lamha Darti Rehti Hain
Apnay Pyaaro Se Apnay Saaye Se
Apnay Rishto se Dil ki Dharkan Se
Apni Khuwahish Se Apni Khushiyo Se
Larkiyan Bewafaa Nahi Hoti.
By:
Alina Amaan
Send To Mobile
Submit Your Comments: