Mohabbat ki tabiyyat mein
Ye kaisa bachpana kudrat ne rakha hai
Ke ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
…Ise taeed-e-taaza ki zarorat phir bhi rehti hai
Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon mein lehlahati ho
Nigahon se tapakti ho,lahu mein jagmagati ho
Hazaron tarah ke dilkash, haseen haale banati ho
Ise izhaar ke lafzon ki hajat phir bhi rehti hai
Mohabbat maangti hai yun gawahi apne hone ki
Ke jaise,tafl sada shaam ko ik beej boye
Aur shab mein baarha uthe
Zameen ko khod kar dekhe ke poda ab kahan tak hai
Mohabbat ki tabiyyat mein ajab takrar ki khu hai
Ke ye iqrar ke lafzon ko sun’ne se nahi thakti
Bicharne ki ghari ho ya koi milne ki sa’at ho
Ise bus aik hi dhun hai
Kaho, mujhse mohabbat hai
Tumhein, mujh se mohabbat hai
Kaho, mujhse mohabbat hai*
Send To Mobile
<<< Read Previous |
Read Next >>>