Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS

Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers. This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.

Latest Urdu Poetry SMS:

  • dard badh kar bayaan na ho jaye yeh zam
    dard badh kar bayaan na ho jaye
    yeh zameen aasmaan na ho jaye
    dil mein dooba hua jo nashtar hai
    mere dil ki zuban na ho jaye
    dil ko lene dijiye jo lena hai
    phir yeh sauda giraan na ho jaye
    aah kijiye magar lateed tareen
    lab tak aa kar duwa na ho jaye


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • tumhe jafa se yoon na baaz aana chahiye
    tumhe jafa se yoon na baaz aana chahiye tha
    abhi kuchh aur mera dil dukhana chahiye tha
    taveel raat ke pehloo mein kab se soye hai
    naveed-e-subah tujhe jag jaana chahiye tha
    bujhe chiragon mein kitne hai jo jale hi nahi
    savaad-e-waqt inhe jagmagaana chahiye tha
    ajab na tha ke qafas saath le ke udd jaate
    tadapna chahiye tha phadphadana chahiye tha
    yeh meri haar ke karya-e-jaan se haara magar
    bichhadne wale tujhe yaad aana chahiye tha
    tamaam umr ki aasudgi-e-visal ke baad
    aakhri dhoka tha khana chahiye tha


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • Mahobatt Ke Naam Pe Dil Par Gehri Chot K
    Mahobatt Ke Naam Pe Dil Par Gehri Chot Khayi Hai
    Marham Ke Intezaar Mein Ghav Pe Runjh Bhi Bhar Aayi Hai
    Kasme-Wadon Ka Koi Mol Nahi Iss Jahan Mein Aaj Samaj Mein Aaya
    Jinse Ummeed Ki Thi Wafa Ki Unse Hi Aaj Humne Be-Wafai Paayi Hai
    Kar To Main Bhi Sakta Hun Apna Ghum-E-Bayaan Unse
    Par Main Wadon Ka Pakka, Sada Chehre Pe Muskurahat Hi Aayi Hai
    Bhulane Ab Unko Main Bhi Chala Hun Mehkhane Ki Taraf
    Peeta To Nahi Main Par Fir Bhi Aankhein Shabab Se Bhar Aayi Hai
    Be-Rukhsat Unki Chaahat Se Kuchh Iss Kadar Ho Gaya Hun Main
    Jaise Mere Sharir Se Juda Hokar Bahar Meri Rooh Nikal Aayi Hai
    Socha Tha Ek Tu Hi To Mera Sahara Thi Jeene Ka
    Aur Tune Hi Aaj Humari Mohabat Ki Chita Jalayi hai


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • wafa ke wade woh sare bhula gaya chup ch
    wafa ke wade woh sare bhula gaya chup chap
    woh mere dil ki deewarein hila gaya chup chap
    gam-e-hayat ke tapte hue biyabaan mein
    woh tanha chhod ke mujhko chala gaya chup chap
    main jisko chhuti hoon woh zakhm dete hai
    woh phool aise chaman mein khila gaya chup chap


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • JO KRTA HAI TUMSE PYAAR VOHI DETA HAI T
    JO KRTA HAI TUMSE PYAAR
    VOHI DETA HAI TAKLIF HAZAAR
    USKE DIL ME HOTA HAI
    TUMHARI HAR BAAT KE LIYE IKRAAR
    KARO TUM CHAHE US SE KITNA BHI INKAAR
    LAGEGAA VO TUMHE PYAARA HAR BAAR
    ROOTH JAOGE TOH MANAYEGA VO
    HAR BAAT PAR TUMSE KAREGA TAKRAAR
    PAR EK BAAR US SE KEH KAR DEKHNA
    ZINDAGI BHAR KAREGA TUMHARA INTEZAAR
    TUMHARE HAR DUKH KO APNAKAR
    DEGA TUMHE KHUSHIYAAN HAZAAR
    KAREGA TUMHARI HIFAZAT KUCHH VAISE HI
    JAISE PHULON KI HIFAJAT KAANTE KARTE HAI HAR BAAR


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod
    Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
    mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
    jab aai mout apni to usse raha na gaya,
    aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya…………..

    Dard ko jaaan sake aisa koi insaan nahi mila hume is dunia se,
    jo humne pura na kia ho aisa koi armaan nahi mila hume is dunia se,
    saath de sakte the unki khusi ka unki mahfil me hum,
    unki mahfil ka bhi waqt tha tab jab hume jaana tha is dunia se………..


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • Apne khwabo ki tabir ki khatir Meri chh
    Apne khwabo ki tabir ki khatir
    Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
    Yad kar wo din ek isara par maine
    Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
    Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
    Mujhe beijjat aur badnam kar dala
    Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
    Par tune khun ke aansu rula dala
    Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
    Par tune mujh se bewafai kar dala.


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • Juda wo Hue pr Hum Nahin, Khafa wo hue pr Hum Nahi
    Juda wo Hue pr Hum Nahin,
    Khafa wo hue pr Hum Nahin,
    Ek Hum He the Jo unse Pyar Karte Rahe,
    Bewafa Woh The Par Hum Nahin.
    `
    Dil K Qareeb Aa K Jab Wo Door Ho Gaye,
    Sary Haseen Khawb Mery Choor Ho Gaye.
    Humne Wafa Nibhai To Badnamiyan Mili,
    Jo Log Bewafa Thy Wo Mashhor Ho Gaye.
    `
    Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha
    Aankhon Main Jagta Hai Koi Rat Ki Tarha.
    Us Se Umeed Thi K Nibhaye Ga Sath
    Magar Woh Bhi Badal Gaya Mery Halaat Ki Tarha.


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai Jitn
    Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
    Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
    Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
    Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah
    Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
    Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
    Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
    Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm
    Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
    Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
    Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
    Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai.


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
  • Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle
    Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha,
    Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha,
    Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
    Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
    Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
    Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha.
    `
    Bewafai UsKi Mita Kar Aaya Hun,,
    Khat Us K Paani Main Baha Kar Aaya Hun,,
    Koi Parh Na Lay Us Bewafa k wadaun Ko,
    Is Liye Pani Mein Bhi Aag Laga Kar Aaya Hun.
    `
    Kitni Saji Hai Bewafai Teray Masoom Chehray Par.
    Hum Bhi Pagal Thay k Is Adaa Pay Mar Gaye…
    `
    Mera Taajub Ajab Nahi Hai.
    Wo Shakhs Pehle Sa Ab Nahi Hai.
    Wafa Ka Kya Gila Karon Main Us Se ‘Ghalib’
    Wo Mera Tha Kab Jo Ab Nahi Hai


  By: PAGALPANTI   Send To Mobile
Urdu Poetry SMS By Page: << 545556575859 6061626364 >>

Submit Your Comments: