Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Khushi manao udas q ho
Ghulab rut main haseen chehro,
hamain btao udas q ho?
Dilon pe beeti hoi kahani,
sb sunao udas q ho?
Jo ranjshain dil main pal rahi hen,
munafaqat men jo dhal rahi hen,
bhula k shikwy,Mita k doori,
Gally lagao udas q ho?
Kitab-e-dil k tamam safhon pe,
hum ne likha hy lafaz muhabat,
hamain hamari wafa ke agy,
Saza sunao udas q ho?
Fareb khana b mashghala hy,
Fareb dena b mashghla hy,
tu dil k lutny pe kaisa matam,
khushi manao udas q ho?
By:
Saba Qureshi
Send To Mobile
-
Hansta tha mujh ko rula b deta tha
Hansta tha mujh ko rula b deta tha
ker k wo mujh say aksar waday bhula b deta tha
bewafa tha mager acha lagta tha dil ko
kabi kabar batian mohabat ki suna b deta tha
kabi bay waqt hi chala ata tha milnay ko
kabi mohabbat k qimti pal gawa b deta tha
tham layta tha hath mera yun hi kabhi
khud kabi hath apna mery hath say chura b layta tha
ajab dhop chaon sa tha mizaj us ka
mo'tabar b karta, nazro say gira b deta tha.
By:
Rooha Baig
Send To Mobile
-
Apni Merzi Say Juda
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
By:
Rooha Baig
Send To Mobile
-
Tum Ab Bhi MeRe Ho JaoGe
Kiya Khabar Thi Tum Achanak Hi Juda HoJaoGe?
Kabhi Mujh Per Marte The Kisi Or Pe Fida HoJaoGe,
Ek Tujhe Hi To Chaha Tha Apni Zaat Se Barh Ke,
Ye Socha Bhi Nhi Ke Mere Liye Saza HoJaoGe,
Main Nhi PoochunGa Tum Se Kabhi,
Mujhe ChorhNe Ka Sabab,
Mere Ye PoochNe Per Tum Shayad MujhSe Khafa Ho JaoGe..
Main To Isi Mein Khush Hoon Ke Tum Khush Ho Warna,
Utha Loon Hath Agar Duaa K Liye To Tum Ab Bhi MeRe Ho JaoGe
By:
Maha Abro
Send To Mobile
-
Main tere dosto me hu
Main tere dosto me hu, na tere dushmano me hu.
Tere qareeb aa kar badi uljhano me hu.
Mujh se bichad k tu bhi to royega umr bhar.
Ye soch le k main bhi teri chahato me hu.
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftgu.
Main ja chuka hu phir bhi teri mehfilo me hu.
Tu has raha hai mujh par mera haal dekh kar.
Aur phir bhi shareek main tere qehqaho me hu.
By:
Saima
Send To Mobile
-
Main Koshish Kar K Dekhon Ga Magar Vada Nahin Karta
(G A Z A L)
Main Apni Dosti Ko Sheher Main Ruswa Nahin Karta,
Mohabbat Main Bhi Karta Hoon Magar Charcha Nahin Karta,
Jo Mujh Se Milny Aa Jaye Main Us Ka Dil Se Khadim Hoon,
Jo Utth K Jana Chahay Main Usy Roka Nahin Karta,
Jisy Main Chhor Deta Hoon,
Usy Phir Bhool Jata Hoon,
Phir Us Hasti Ki Janib Main Kabhi Dekha Nahin Karta,
Tera israar Sar Aankhon Pe K Tujh Ko Bhool Jaon Main,
Main Koshish Kar K Dekhon Ga Magar Vada Nahin Karta..
By:
Naila Soomro
Send To Mobile
-
Meri khushi ki khatir khud ko sanbhal rakhna
Meri khushi ki khatir khud ko sanbhal rakhna,
Us ne kaha tha mujh se apna khayal rakhna.
Ye bhi kaha tha us ne har khawab Aarzi hai,
Tum bhi zehan main apne harf-e-zawaal rakhna.
Wo keh raha tha shayed kuch na bata sakon main,
Mere samne na tum bhi koi sawaal rakhna.
Wo hans k keh raha tha gham bhi tumhen milen ge,
Laikin na hosla tum apna nidhaal rakhna,
Har baat ka taqaza mujh se jo kar raha tha,
Kiya us ka haq nahi tha mera khayal rakhna...?
By:
Naila Soomro
Send To Mobile
Submit Your Comments: