Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Na Kar Bandeya Meri Meri
(BULLAY SHAH)
Na Kar Bandeya Meri Meri,
Na Teri Na Meri,
4 Dinan Da Mela, Duniya Fair Mitti Di Dheri,
Mander Dha De Masjid Dha De,
Dha De Jo Kuj Dhenda,
Ek Banday Da Dil Na Dhaanwien,
Rab Dilan Vich Rainda..
By:
Sumbul
Send To Mobile
-
Tum to Bicher Gaye
Tum to Bicher Gaye magar sapnay wohi rahay,
Maosam badal gaye magar manzar wohi rahay,
Hoti rahin sergoshian tanhaioun k saath,
Lehrain badal gaien magar sahil wohi rahay,
Kuch aisay taqdeer ne faisley kiye,
Duaien badal gaien magar daman wohi rahay,
Hum chah k b umar bhar nashad hi rahay,
Umr beat gai magar jazbay wohi rahay,
Kia hua jo rishton ki pehchan badal gayi,
Hum b wohi rahay aur tum b wohi rahay.
By:
Sumbul
Send To Mobile
-
Wafaon Ka Sila Dete
Wafaon Ka Agar Mere Sanam Sila Dete
Tumhare Naam Per Hum Zindagi Bita Dete
Woh Agar Kehta K Us Per Bojh Hai Meri Hasti
Hum Apni Zaat Ka Nam-O-Nishan Mita date.
By:
SAYYAM
Send To Mobile
-
Firaq-E-yaar ki barish
Firaq-E-yaar ki barish malaal ka mousam'
Hamare shehar mein utra kamaal ka mousam'
Wo ik dua meri jo na'muraad loat aayi,
Zuban se roth gaya phir sawal ka mousam'
Bohat dinon se mere zehan k darichon mein'
Thehar gaya hai tumhare khayal ka mousam'
Jo Be-yakeen hon baharein ujarr b sakti hain'
Tu aa k daikh le mere zawal ka mousam'
Muhabbatein b teri dhoop chaon jaisi hain'
Kabhi ye hijar kabhi ye wisaal ka mousam'
Koi Mila Hi Nahi Jisko Sonpte
'mohsin '
Hum Apne Khawab ki Khushbu Khayal ka mousam.
By:
SAYYAM
Send To Mobile
-
Mere Dil di Pehli KAHANI
!WARIS SHAH!
Mere Dil di Pehli KAHANI parh
Kise hor nu yar banavi na
Menu soch samj k dil devin
Mere nal mzaq bnavin na
Is pyr vich role hunde ne
Dil qaim rakhin ghbravin na
Je tu mangen te me jind v de san
Pr kise hor nu yar bnavin na
Veri jag sara is pyar da ay
Be qadre nu dard sunavin na
Ay dunia bari he zalim a
Ainu kadi vi dukh sunavin na
Hr ak ni honda pyar de kabil
A gal mri tu bulavin na
J mil javy tenu yar sucha
us yar nu kadi ganvai na.
By:
SAYYAM
Send To Mobile
-
Muskura Do Zara
Muskura Do Zara Khuda K Waste,
Shama-e-Mehfil Me Roshni Kam Hai,
Tum Humare Nahi To Kya Gham Hai,
Hum Tumhare To Hain Kya Yeh Kam Hai.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Dil Lagaye Jate Hain
Bari Aasani Se Dil Lagaye Jate Hain,
Par Bari Mushkil Se Wade Nibhaye Jate Hain,
Le Jati Hai Mohabbat Un Raahon Par,
Jahan Diye Nahi, Dil Jalaye Jate Hain.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Tumse Humari Judaai Hogi
Kon Kehta Hai Dost Tumse Humari Judaai Hogi,
Yeh Afwaah Zaroor Kisi Dushman Ne Uraayi Hogi,
Shaan Se Rahen Ge Tumhare Dil Me Hum,
Itne Din Me Kuch To Jaga Banai Hogi.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Ghalib, Iqbal & Faraz
Ghalib, Iqbal & Faraz
Saqi peene De sharab masjid mein beth kar,
Ya wo jagah bata jahan Khuda nhi
(GHALIB)
Masjid Khuda ka ghar he peene ki jagah nhi,
Kafir ke dil mein ja wahan Khuda nhi
(IQBAL)
Kafir ke Dil Se aaya hon mein ye Dekh kar,
Khuda mojood he wahan, use pata nhi.
(Faraz)
By:
SAYYAM
Send To Mobile
Submit Your Comments: