Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Ajab sham khari hai kahen se ajao
Ajab sham khari hai kahen se ajao,
Bari udas ghari hai kahen se ajao.
Kisi se milna aur mil k bichar jana,
saza ye itni bari hai kahen se ajao..
Bara kathin hai ye hijr ka mosam,
judai bol pari hai kahen se ajao...
Zamana jise samajhta hai motiyon ki chamak
wo ansuon ki lari hai kahen se ajao..
By:
musarat
Send To Mobile
-
Me Kesa Kamal Rakhta Hai
Woh Apne Ishq Me Kesa Kamal Rakhta Hai,
K Be-Rukhi Me Bhi Mera Khayal Rakhta Hai.
Jo Aaj Mera Nahi Hai Woh Kal Mera Hoga,
K Har Zamana Urooj-o-Zawal Rakhta Hai.
Ajab Nahi K Woh Jahan Bhar Ko Wafa Samjhe,
Nazar Me Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai.
Meri Uraan K Agay Hai Kis Qadar Be-Bus,
Yeh Asman Jo Sitaro Ka Jaal Rakhta Hai.
Tera Khayal He Kuch Meharban Hai Warna,
Jahan Me Kon Kisi Ka Khayal Rakhta Hai.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Yeh Ajnabi Si Manzilen
Yeh Ajnabi Si Manzilen Or Rugtagaan Ki Yad,
Tanhayon Ka Zehar Hai Or Hum Hain Dosto.
Lai Hai Ab Ura K Gaye Mosamo'n Ki Baten,
Barkha Ki Rut Ka Qahar Hai Or Hum Hain Dosto.
Phirte Hain Misl-e-Moj-e-Hawa Shehar Shehar Me,
Awaz Ki Lehar Hai Or Hum Hain Dosto.
Aankhon Me Urr Rahi Hai Luti Mehfilo Ki Dhool,
Ibrat-Sara Hai Dehar Hai Or Hum Hain Dosto.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
muJhko lauta do bachchpan ka saawan
muJhko lauta do bachchpan ka saawan
wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani
mohalle ki sabse nishaani purani
wo buDhiya jise bachche kehte the naani
wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa
wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera
bhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi
wo choti see raateN wo lambi kahaaNi
wo maasoom chaahat ki tasveer apni
wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni
na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan
baDi khoobsoorat thi wo zindgaani
By:
musarat
Send To Mobile
-
Uski Baten To Phool Hon Jaise
Uski Baten To Phool Hon Jaise,
Baki Baten Babul Ho Jaise,
Choti Choti Si Uski Wo Akhe,
Do Chameli Ke Phool Ho Jaise,
Uski Haskar Nazar Zhuka Lena,
Sari Sharte Kubul Ho Jaise,
Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi,
Sari Baten fuzul Ho Jaise
By:
musarat
Send To Mobile
-
dost ban-banke mile muJhko mitaane waale
dost ban-banke mile muJhko mitaane waale
maine dekhe haiN kaI rang badalane waale
tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar
tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale
maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN
aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale
akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo
phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale
By:
musarat
Send To Mobile
-
Naa Mohabbat Naa Dostii Ke Liye
Naa Mohabbat Naa Dostii Ke Liye
Waqt Ruktaa Nahii.n Kisii Ke Liye
Dil Ko Apane Sazaa Na De Yuu.n Hii
Is Zamaane Kii Berukhii Ke Liye
Kal Javaanii Ka Hashr Kyaa Hogaa
Soch Le Aaj Do Gha.dii Ke Liye
Har Ko_ii Pyaar Dhuu.ndhataa Hai Yahaa.n
Apanii Tanhaa Sii Zindagii Ke Liye
Waqt Ke Saath Saath Chaltaa Rahe
Yahii Behatar Hai insan Ke Liye
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: