Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
Phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya m
Phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko,
Kia saza di hai Mohabbat ne khudaya mujhko,
Din ko araam hai na raat ko hai chain kabhi,
Jaane kis khaak se qudrat ne banaya mujhko,
Dukh to ye hai k zamane mein mile ghair sabhi,
Jo mila hai wo mila ban ke praya mujhko,
Jab koi bhi na raha kandha mere rone ko,
Ghar ki deewaro ne seene se lagaya mujhko,
Yun to umeed-e-wafa tumse nahi "MOHSIN"
Phir chiragho ki tarah tum ne q jalaya mujhko....!!
٩(-̮̮̃-̃)۶ WA ٩(-̮̮̃•̃)۶
By:
- N O S S C I R E -
Send To Mobile
-
>Mohabat kya hai<
.
Mohabat Sirf da
>Mohabat kya hai<
.
Mohabat Sirf dard-e-sanam kab hai..
Es k hazaro roop Rang hain...
.
Ye Har rang Mein Muskuarti hai,
Roothe bacche ko chup karna Bhi Mohabat Hai...
.
Door kisi Gareeb k Ghar Me..
Band Choolhe ko jalana bhi Mohabbat Hai...
.
Jo Gareeb Bacche Kapdo ko bhi Taras jaate hain..,
Un Masoom baccho ko Naye kapde dilana bhi Mohabbat Hai...
.
wo jin k Aansoo poonchne wale nahi rahe..,
un ki Mayusiya'n Mitana Bhi Mohabat Hai...
.
Ae DIL tu bhale hi Gam se Choor Choor hai...
Lakin Logo k Gam DiL Pe lena bhi
Mohabat Hai...
.
Main to Shayar hu.. Karu kaise Mohabat
ko baya'n ??
By:
PAGALPANTI
Send To Mobile
-
Kisi shayar ne maut ko kya khoob kaha:-
Kisi shayar ne maut ko kya khoob kaha:-
Zindagi me 2 minute koi mere pas na baitha,
Aaj sab mere pas baithe jaa rahe thay
Koi tohfa na mila aaj tak mujhe or aaj phool hi phool diye jaa rahay thay
Taras gaya main kisi ke hath se diye ek kapde ko
or aaj naye naye kapde odhaye ja rahe thay,
Do kadam sath na chalne ko tayar tha koi,
Or aaj kafila banakar chale jaa rahe thay..
Aaj pata chala
SOHAIL...
''MAUT'' itni hasin hoti hay,Kambhakt "HUM" to yuhi jiye ja rahe thay
By:
PAGALPANTI
Send To Mobile
-
Jab Khayalon Me Rukh-e-Yar Hua Karta Hai
Jab Khayalon Me Rukh-e-Yar Hua Karta Hai,
Har Taraf Mosam-e-Bahar Hua Karta Hai.
Hum Teri Yaad Ko Pholon Se Saja Dete Hain,
Raasta Jitna Bhi Dushwaar Hua Karta Hai.
Yeh Mohabbat Hai Jo Pagal Sa Bana Deti Hai,
Warna Har Shaks Samajhdar Hua Karta Hai.
Jin Ki Aankhon Me Saji Ho Mehboob Ki Surat,
Unko Dunya Se Bohat Pyar Hua Karta Hai.
Jan-e-Jaan Yunhi Sulagte Nahi Hum Raaton Me,
Loh-e-Dil Par Tera Rukhsar Hua Karta Hai.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Ab Mohabbat Ki Wakalat
Nahi Ki Ja Sakt
Ab Mohabbat Ki Wakalat
Nahi Ki Ja Sakti...
Shehr Bhar Se To Adawat
Nahi Ki Ja Sakti!!!
Mera Chehra Meri Aankhen
Hain Salamat Ab Bhi...
Kon Kehta Hai Wazahat
Nahi Ki Ja Sakti!!!
Baat Yeh Hai K Koi
Toot K Chahe To Sahi...
Har Kisi se To Mohabbat
Nahi Ki Ja Sakti!!!
Aankh Kehti Hai Kahin
Or Chale Jayen Hum...
Dil Yeh Kehta Hai K
Hijrat Nahi Ki Ja Sakti!!!
Loh-e-Dil Per Yahi Tehreer
Likhi Hai "JAAN"...
Ishq Walo Ko Naseehat
Nahi Ki Ja Sakti!!!
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Khatir Se Ya Lehaz Se
Main Maan To Gaya
Khatir Se Ya Lehaz Se
Main Maan To Gaya,
Jhoti Qasam Se Apka
Emaan To Gaya.
...
Dil Le K Muft Kehte Hain
Kuch Kaam Ka Nahi,
Ulti Shikayaten Huin,
Ahsaan To Gaya.
...
Afshaye Raz-e-Ishq
Me Go Zillatein Hoi,
Lekin Ise Jata To Dia
Jaan To Gaya...!!!
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Us's Mod Se Shuru Karen Phir Ye Zindagi
Us's Mod Se Shuru Karen Phir Ye Zindagi
Har Shay Jahan Haseen Thee, Hum Tum The Ajnabi
Lekar Chale The Hum Jinhe Jannat Ke Khwaab The
Phoolon Ke Khwaab The Wo Mohabbat Ke Khwaab The
Lekin Kahan Hai Unmein Wo Pehle See Dilkashi
Rehte The Hum Haseen Khayaalon Ki Bheed Mein
Uljhe Huye Hain Aaj Sawaalon Ki Bheed Mein
Aane Lagi Hai Yaad Wo Fursat Ki Har Ghadi
Shaayad Ye Waqt Humse Koi Chaal Chal Gaya
Rishta Wafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya
Ashkon Ki Chandini Se Thee Behtar Wo Dhoop Hi
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: