Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Urdu Love SMS at Funny SMS

A large selection of lovely, romantic, cute, sweet poetic & friendly texts. To send urdu love sms to your close friends & loved ones. Send good morning loves sms, love poems sms,love poems, love quotes, funny sms, romantic sms, naughty sms, miss you sms, love sms text messages, hate you sms to your soul mates. You can also submit urdu love sms here. Collection of latest Urdu Poetry and many more. Here on this page you will see the detail of Poetry in urdu. It contains a large collection of very nice Poetry in Urdu, Keep on visiting the site for more latest and nice love Poetry.

Latest Urdu Love SMS:

  • Pyar ko Pyar He Rahne Do
    Hum ne Dekhi Hai, un aankhon mein mahekti khushbu,

    Hath se chu k usy lafzon ka ilzam na do.

    Sirf EHSAS Hai ye, Rooh se mahsoos karo,

    Pyar ko Pyar He Rahne Do koi nam na do.


  By: Dhump   Send To Mobile
  • Mohabbat K Fasane Mai
    Kami Hai To Bas Itni Hai Mohabbat K Fasane Me

    Jisse Dil Dhondta Hai Wo Nhi Milta Zmane Me

    Faqat Deewar-O-Dar K Pathron Ko Ghar Nhi Kehte

    Kisi Ka Sath B Lazim Hai Ghar Ko Ghar Banane Me

    Yahan Sb Apni Apni Manzilon K Raston Me Hain

    Koi Uljha Hai Khone Me Koi Khoya Hai Paane Mai.


  By: Funtoosh   Send To Mobile
  • Bikhri Hui Zulfon Ka Tassawur
    Un Ki Bikhri Hui Zulfon Ka Tassawur Toba,

    Rang-o-Noor K Dhaaro'n Ko Saza Milti Hai.

    Jab Woh Daanto'n Me Dabati Hain Gulabi Aanchal,

    Kitne Pur-Kaif Nazaron Ko Saza Milti Hai.


  By: AsiM   Send To Mobile
  • Bas Mere He Ho Jao
    Tumhain Taqseem Kar Day Ga Ye Har Ik Dil Main Ghar Karna...




    Tum Ab K Baar Yun Kar Lo K Bas Mere He Ho Jao...


  By: Wasiq Ansari   Send To Mobile
  • New Love Related Quotes
    Love Related Quotes.

    Love doesn't see by Eyes it see by heart.
    - Shakespeare

    The one who gets in love again n again, he doesn't know how to get in love Truly.
    - Ghalib

    Love is that Game in which you become Witless.
    -Allama Iqbal

    Idhar Aa Tera Pyar Nikalun.
    - Ammi. :-D


  By: Funtoosh   Send To Mobile
  • Izhar-e-Mohabbat Na Kare
    Ik Iltaja hai Us Se K Izhar-e-Mohabbat Na Kare.



    Main Usey HAAN Keh nahi Sakta Aur NA Kaha Nahi Jayga.


  By: Broad Caster   Send To Mobile
  • Tujhay Raat ki Rani Likhtay
    Koi Afsaana koi Baat Puraani Likhtay,

    Itni Fursat hi na thi Apni Kahaani Likhtay.

    Teri Umeed k Saahil Se Juray hotay Agar,

    Meray Sehra Teray darya ki Rawaani Likhtay.

    Kuch Kitaaboon mein Teray Phool Chupaaya Kartay,

    Apnay Takiye pe Teri koi Nishaani Likhtay.

    Dil ka Aangan teri Khushbu Se Mehekta Shab Bhar,

    Hum Mohabbat Se Tujhay Raat ki Rani Likhtay.


  By: Shayare Maghrib   Send To Mobile
  • kabhi yun b toh ho...
    Kabhii Yuun Bhii To Ho
    k Chandni Raat Ho
    Chaand Se Baat Ho
    Aur Tum Aao

    Kabhii Yuun Bhii To Ho
    Pariyon Kii Mahafil Ho
    Koii Tumhaarii Baat Ho
    Aur Tum Aao

    Kabhii Yuun Bhii To Ho
    Ye Narm Mulaayam Thandii Havaayen
    Jab Ghar Se Tumhaare Guzaren
    Tumhaarii Khushbuu Churaayen
    Mere Ghar Le Aayen

    Kabhii Yuun Bhii To Ho
    Suunii Har Manzil Ho
    Koii Na Mere Saath Ho
    Aur Tum Aao

    Kabhii Yuun Bhii To Ho
    Ye Baadal Aisaa Tuut Ke Barase
    Mere Dil Kii Tarah Milane Ko
    Tumhaaraa Dil Bhii Tarase
    Tum Nikalo Ghar Se

    Kabhii Yuun Bhii To Ho
    Tanahaaii Ho, Dil Ho
    Buunden Ho, Barasaat Ho
    Aur Tum Aao

    Kabhii Yuun Bhii To Ho


  By: hammad   Send To Mobile
  • Ab To Mil Mil Jao TUM
    Phir Se Rog, Lagao Tum,
    Mujh Se Rabt Barhao Tum,

    Kaise, Sab Kuch Bhoole Ho,
    Muj Ko Bhi Samjhao Tum,

    Jaise Barish Sawan Ki,
    Ik Din, Aaise AAO Tum,

    Mn Ne, JEE Bhar Rona Hai,
    Mujh Ko, Khuwab Dikhao Tum,

    Bahut Kuch Kho Chuke Hn Hum,
    Ab To Mil Mil Jao TUM.


  By: SAYYAM   Send To Mobile


  By: Fuzail   Send To Mobile
Urdu Love SMS By Page: << 137138139140141142 143144145146147 >>

Submit Your Comments: