Best Collection of New Sad Poetry SMS at Funny SMS
Our
Sad Poetry SMS category offers poetry dealing with the emotional pain and hurt common to all. Sad Poems includes poetry sections on Lost Romance, Lost Friendship, Poems, Loss from Death, Depression and Suicide,
Sad Poetry SMS, and sensitive Social Issues like child abuse. Our collection of Sad Poems includes sad poems, depression poems, sad love poems, death poems as well as sad poems written by teens. You can also
Submit Sad Poetry SMS here.
Latest Sad Poetry SMS:
-
Ishq Ki Daastaan Hai Pyaare
Ishq Ki Daastaan Hai Pyaare,
Apani Apani Zubaan Hai Pyaare
Ham Zamaane Se Intaqaam To Len,
Ek Haseen Darmiyaan Hai Pyaare
Tu Nahin Main Hun, Main Nahin Tu Hai,
Ab Kuch Aisa Gumaan Hai Pyaare
Rakh Qadam Phunk Phunk Kar Naadaan,
Zarre Zarre Men Jaan Hai Pyaare.
By:
naveed samoo
Send To Mobile
-
Jab Tasawur Me Kabhi
Jab Tasawur Me Kabhi Jaam Khanak Jate Hain,
Kitne Aansu Meri Palkon Se Dhalak Jate Hain.
Main Woh Mai-Kush Hon K Peeta Hon To Hosh Aata Hai,
Woh Bhi Kya Log Hain Jo Pee K Bahek Jate Hain.
Woh Khayalon Me Bhi Aa Kar Jo Uthate Hain Naqab,
Aalam-e-Shoq K Zarrat Damak Jate Hain.
Hum-Nasheen Dil Mera Sheesay Se Bhi Nazuk Tar Hai,
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Darak Jate Hain.
Ab Yeh Aalam Hai K Sun Mera Afsana-e-Gham,
Unki Aankhon Se Bhi Ashk Chalak Jate Hain.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Me Kon Kis Ko Pehchane
Is Diyaar-e-Ghurbat Me Kon Kis Ko Pehchane,
Woh Jo Kal Tak Apne The, Ban Gaye Hain Begane.
Kis Me Kya Taghayyur Hai Yeh To Bas Khuda Jane,
Pas Se Woh Guzre Bhi Or Mujhe Na Pehchane.
Kashmakash Ka Aalam Hai Kis Taraf Karon Sajda,
Ik Taraf Tere Jalwe, Ik Taraf Sanam Khane.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Un Se Milne Ka Ab Gumaan
Un Se Milne Ka Ab Gumaan Bhi Nahi,
Reh-Guzar Kya, Koi Nishan Bhi Nahi.
Log Manzil Nasheen Hue Kab K,
Ab Kahin Gard-e-Karwaan Bhi Nahi.
Zikr Ho Mera, Un Ki Mehfil Me?
Main To Kya, Meri Daastan Bhi Nahi.
Aatish-e-Ishq Ary Maaz-Allah!!
Dil Sulagta Hai Or Dhuaan Bhi Nahi.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Kisi Majboor K Lab Tak
Kisi Majboor K Lab Tak
Na Aye Gi Fughaan Kab Tak,
Lage Gi Aag Dil Me Or
Na Uthe Ga Dhuaan Kab Tak.
Madad Aye Jazba-e-Ulfat
Mujhe Manzil Pa Pohncha De,
Nigah-e-Yaas Se Dekha Karon
Main Karwaan Kab Tak.
Wafa Pe Naaz Hai Mujh Ko
Taghaful Hai Sheyaar Unka,
Mujhe Bhi Dekhna Hai Woh
Rahen Ge Badgumaan Kab Tak.
Ise Karna Pare Ga Samna
Amwaaj-e-Toofan Ka,
Yeh Bach Bach Kar Chale Gi
Kashti-e-Umr-e-Rawan Kab Tak.
By:
AsiM
Send To Mobile
-
Tum Udaas Mat Hona
Shab-e-Intezaar
Sardion ki Raaton Mai
Jis Samey B Jam Jaaye
Or Dil ki Baaton Mai
Aarzoo Theher Jaaye
Ajnabee Musafir K
Intezaar ki Shamein
Sard Sard Jhonkon Se
Phadphadaane Lag Jaayein
Apne Sard Shaanon Per
Rakh k Sar ko Mat Rona
Tum Udaas Mat Hona!!!
By:
Wasiq Ansari
Send To Mobile
Submit Your Comments: