Buy PUBG Mobile UC in Pakistan
SMS Categories
Our Community
Facebook Group Facebook Page
Follow Us on Twitter Follow Us on Twitter

Best Collection of New Mazahiya Shayari at Funny SMS

Resource for Mazahiya Shayari, Urdu Poems. Continue for our current list of the Mazahiya Shayari , Urdu Poems. We're collecting some of the funniest poems from poets around the globe with our aim, to bring more laughter to the world. A free, online funny poetry resource providing the famous funny poems by the World's most popular Poets. Whether your search is for Classic Funny Poetry / Mazahiya Shairy or Modern Funny poetry you will find the funny poetry of your choice on this Funny Poetry section. You can Also submit Mazahiya Shairy here.

Latest Mazahiya Shayari:

  • Anjaam
    December Jab bhi Ata hai Yehi Anjaam hota hai,

    Kabhi Khansi, Kabhi Nazla, Kabhi Zukaam hota hai..;-)


  By: Haya Ali   Send To Mobile
  • Muqaddar
    Me Tere Muqaddar me Nahi To Kiya Huwa,,

    Tum jis k Muqaddar me ho Usay "Tension" Mubarak..:-p


  By: Raheel Ahmed   Send To Mobile
  • Mohabbat Me Judaai
    Khuda Kery Kisi ko Mohabbat me Judaai na Mily,,

    Wah Wah Wah,

    Khuda Kery Kisi ko Mohabbat me Judaai na Mily,,

    Aur Jo Mujhy Msg na kery usay Sardi me Razaai na Mily...:-)

    .
    Kiya Baat Hai,

    Bachpan se Hi Shayar Hun...;-p


  By: Naghma Khan   Send To Mobile
  • Taras Gaye Hen
    Taras gaye hen Hum Tere Lab se Kuch Sun'ny k liye,,

    .

    Piyar ki Baat na sahi koi "Bakwas" hi ker do..:-p


  By: Sumaira Malik   Send To Mobile
  • Deewani
    Dil diya tha Jisko "Deewani" samajh ker,

    Kha gai is Dil ko "Biryani" samajh ker,

    Aansu bhi na choray Us Bewafa ny,

    Unko bhi Pee gai "Lemo Pani" samajh ker..:-)


  By: Raheel Ahmed   Send To Mobile
  • Biviyan Aati Hen
    ** Funny Ghazal **


    Biviyan aati hen,
    Heer ki Tarha.

    Meethi hoti hen,
    Kheer ki Tarha.

    Namkeen hoti hen,
    Paneer ki Tarha.


    Aur Phir kuch Maah Baad...


    Chubhti hen,
    Teer ki Tarha.

    Hukum Chalati hen,
    Peer ki Tarha.

    Waday kerty hen,
    Kisi Wazeer ki Tarha.

    Ker deti hen Haal,
    Kisi Faqeer ki Tarha.

    Nazar Rakhti hen,
    Express k Shabbeer ki Tarha.

    Aur Phi,

    Shoher k Hathon Maari Jati hen,

    Be-Nazeer ki Tarha...;-0


  By: Maha Abro   Send To Mobile
  • BeWafa
    Dukh hua jab Usay Kisi Aur k Sath Jaty dekha..!!

    Wah Wah,,

    Dukh hua jab Usay Kisi Aur k Sath Jaty dekha..!!

    .

    .

    Itny me Us k Abba Aagaye aur phir Pury Rasty Usay Maar Khaty Dekha...;-p

    (,")/
    <))
    _/>

    ALLAAADDIII..

    Yeh Cheez Uncle,

    Ek Meri Taraf se Bhi,

    Bohat Bigar gai hai Ye...;-)


  By: Sumaira Malik   Send To Mobile
  • Kitaab
    Parh rahe hen hum Ishq ki kitaab!


    <= Dosto =>

    Agr ban gaye Wakeel to Bewafa0n ki khair nhi........!!!!!!


  By: JAVED AHMED   Send To Mobile
  • Siyasi Ghazal
    ** Siyasi Ghazal **

    Aye Watan k Sajeely Siyasatdano,

    Sary Raqbay tumhary liye hen..

    Kothiyon k Talabgar ho Tum,

    Plaaton k Paristar ho Tum..

    O' Zalalat ki Zinda Misalo,

    Sary Qarzy Tumhary liye hen..

    Tum hi se Qaim hai Budget ka Khasara,

    Lahoo Pi lo Gharibon ka sara..

    Aye Jahannum k Zinda Nishano,

    Sary Funds Tumhary liye hen..

    Aye Paak Watan k Ghaddaro,

    O' America k Wafadaro,

    Ye Jitni bhi hen is Jahan me,

    Sari Lanaten Tumhary liye hen..!


  By: Naghma Khan   Send To Mobile
  • Chat Pati Ghazal
    ** Chat Pati Ghazal **

    Meri Mohabbat ko Apny Dil me dhoond lena,

    Aur haan! Aaty ko achi tarha Goondh lena..


    Mil jaye Agar Piyar to Khona nahi,

    Piyaz kat'ty waqt Rona nahi..


    Mujh se Rooth jany ka Bahana acha hai,

    Thori dair aur Pakao Gosht abhi kacha hai..


    Mil kr phir abhi Khushiyon ko bantna hai,

    Tamatar zara bareek hi katna hai..


    Log hamari Mohabbat se Jal na jaen,

    Chawal time pr dekh lena kahin gal na jaen..


    Kesi lagi Ghazal bata dena,

    Namak kam lagy to aur mila lena..:-)


  By: Naghma Khan   Send To Mobile
Mazahiya Shayari By Page: << 232425262728 2930313233 >>

Submit Your Comments: