Best Collection of New Islamic SMS at Funny SMS
Best collection of
islamic sms and Al-Quran / Al-Hadith(Hadees) of the Day / text messages in roman urdu & english. Yes, you can also see good collection of sms messages related to Islam. Send these
cute Islamic sms messages to your
Muslim friends and brothers. Cool collection of Ramazan sms,
Ramadan month sms. You can also
submit islamic sms here.
Latest Islamic SMS:
-
Khush-Haali Lanay Wali Cheezen
Khush-Haali Laanay Waali 7 Cheezain:
1. Quran Ki Tilaawat
2. Namaaz Ki Pabandi
3. ALLAH Ka Shukr Ada Karna
4. Majboor Ki Madad Karna
5. Gunahon Se Tauba
6. Azeezon Se Acha Sulook
7. Subah K Waqt Surah Yaseen
Aur Shaam K Waqt Surah Waqia Ki Tilaawat.
( Achi bat phelana b Sadqa-e-Jaria hai )
By:
Rooman Qamar
Send To Mobile
-
Azmat-E-Baatil Dhoka Hai
Ye Azmat-E-Baatil Dhoka Hai,
Ye Sarwat-e-Kaafir Kuch Bhi Nahi,
Mitti K Khilone Hein Saare,
Ye Kufr K Lashkar Kuchh Bhi Nahi,
ALLAH Se Darne Waalon Ko,
Baatil Se Daraana Mushkil Hai,
Gar Khauf-e-KHUDA Ho Dil Mein To,
Taaghoot K Paikar Kuchh Bhi Nahi,
Dastoor Bhi Hai Tanzeem Bhi Hai,
Tehzeeb Bhi Hai Taleem Bhi Hai,
Manshoor Jo Apna QURAAN Ho,
Kisraa-o-Qaisar Kuchh Bhi Nahi,
QURAAN Agar Dastoor Nahi,
ISLAM Agar Manzoor Nahi,
To Lanat Is Azaadi Per,
Ye Mulk Ye Lashkar Kuch Bhi Nahi.
By:
Rooman Qamar
Send To Mobile
-
Dandaan Shikan Jawab
Dandaan Shikan Jawab:
Aik mirzai ne Syed Ata ULLAH Shah Bukhari se kaha:
Ata ULLAH Sahab hum Ghulam AHMED ko Nabi mantay hain,
Is Per Shah Sahab bolay:
wo to ghulam hai, jo ghulam ho wo Nabi nahi ho sakta,
Wo kehne laga:
hum ne Ghulam ko hata dia hai, hum AHMED ko Nabi mantay hain.
Ap ne jawab dia:
Mera Naam Ata ULLAH hai Main Ne Ata ko hata dia hai Ab main ALLAH ki Qasam kha ker kehta hon:
Main Ne is Ulloo k Patthay ko Nabi nahi Banaya.
By:
Rooman Qamar
Send To Mobile
-
Talqeen-e-Gazali Na Rahi
Hindu Poet Says:
Tum Mil Mila k Bhi BABRI MASJID na Bacha Sake, "MUSALMANO"
Tanha Ek HUSSAIN THA Sara Islam Bacha Gaya.
(Guru Krishen)
Aur Aaj kMmusalmano k Liye He Allama Iqbal ne Kaha Tha:
Reh Gai Rasm-e-Aazan Rooh-e-Bilali Na Rahi
Reh Gaya Sirf Falsafa, Talqeen-e-Gazali Na Rahi,
(ALLAMA IQBAL)
By:
Wasiq Ansari
Send To Mobile
Submit Your Comments: