Muflis-e-Zindagi Ab Na Samjhe Koi,
Mujhko Ishq-e-Nabi Is Qadar Mil Gaya.
Jagmagaye Na Q Mera Aqs-e-Dron,
Ek Pathar Ko Aaena-gar Mil Gaya..
Jis Ki Rahmat Se Taqdeer-e-Insan Khuly
Uski Janib Hi Darwaza-e-Jaan Khuly.
Jaan-e-Umr-e-Rawan Le K Jati Kahan,
Khair Se Mujhko Khair Ul Bashar Mil Gaya.
Muflis-e-Zindagi Ab Na Samjhe Koi.!
Mahwar-e-Do Jahan Zaat Sarkar Ki,
Aur Meri Haisyat Ek Per-Kaar Ki.
Jiski Ik Rahguzar Tay Na Ho Umr Bhar,
Qibla-e-Arzu To Magar Mil Gaya.
Muflis-e-Zindagi Ab Na Samjhe Koi.!
Uska Deewana Hun Uska Majzoob Hun,
Kya Ye Kam Hai K Me Us Sy Mansoob Hun.
Sarhad-e-Hashar Tak Jaonga Be-Dharak,
Mujhko Itna To Zaad-e-Safar Mil Gaya.
Muflis-e-Zindagi Ab Na Samjhe Koi.!
Jis Taraf Se Bhi Guzren Meri Khwahishen,
Mujh Se Bach Kar Nikalti Rahi Laghzishen.
Jab Jhukai Nazar Jhuk Gaya Mera Sar,
Naqshe-e-Paa Uska Her Morr Per Mil Gaya.
Muflis-e-Zindagi Ab Na Samjhe Koi.!
Zahn Be Rang Tha Saans Be Roop Thi,
Rooh Per Maasiyat Ki Kari Dhoop Thi.
Us Ki Chashm-e-Ghani Ronaq-e-Jaan Bani,
Chhaun Jis Ki Ghani Wo Shajar Mil Gaya.
Muflis-e-Zindagi Ab Na Samjhe Koi.!
Jab Se Mujh Per Hua Mustafa Ka Karam,
Ban Gaya Dil Muzaffar Chiragh-e-Haram.
Zindagi Phir Rahi Thi Bhatakti Hui,
Meri Khana Badoshi Ko Ghar Mil Gaya.
Muflis-e-Zindagi Ab Na Samjhe Koi..!
Send To Mobile
<<< Read Previous |
Read Next >>>