Mohabbat ki sabhi rasmein
chalo phir se karein zinda
agar tum saath do jaana'n !
chiragon ko mundero'n per
chalo phir sey jalaatey hain
chalo hum library mein
kitab-e-shoq parhtey hain
kisi canteen per dono
chalo hum lunch kertey hain
chalo phir sey darakhto'n per
ikathay ek pae'r k neechay
zara aaram kertey hain
kisi anjaan raastay per
zara si deir chaltey hain
tumharey dil ki har dharkan
mujhe phir sey sunaii dey
humarey pyaa'r ki jaana'n
zamana phir guwahii dey
magar yeh tab hii mumkin hai
agar tum saath do jaana'n
mohabbat ki sabhi rasmein
chalo phir se karein zinda ............
Send To Mobile
<<< Read Previous |
Read Next >>>