MAA KI SHAAN
Aye bashar Maa ki bohat unchi shan hai,
Zara parh k dekh ley tu Quraan hai,
Muhabbat na mile gi Maa jesi kahin bhi,
Phir k dekh le tu sara jahaan hai,
Jisne hukum na mana Maa ka kabhi,
Meri samajh main woh bad bakht insaan hai,
Teri Jannat to hi Maa kay Qadmon Talay,
Khidmat kar iski yehi tera Imtahaan hai,
Jis dil main muhabbat nahi Maa ki,
Sun woh Khuda ki muhabbat ka Na-Farmaan hai,
Maa k baghair nahi ghar main ye Ronaqain
Maa k baghair ghar ujra hua Makaan hai,
Maa to pal bhar main muaaf kar deti hai,
Dunya main chahy jitna bara Gunahgaar insan hai,
Nafarmaan na hona Maa ka Usman,
Maa to dunya-o-Aakhirat ki pehchan hai.
Send To Mobile
<<< Read Previous |
Read Next >>>