us ko bhi bachana he, Khud ko bhi bachana he
Ek simt he zaat apni, ek simt zamana he
hum se na koi uljhey, hum log hain diwaney
Aandhi se hame zid he, ek deep jalana he..
hum dono ko ba'nta he, Dariya ke kinaro'n ne
iss simt bhi rehna he, uss simt bhi jana he
ye ishq to fitrat he, kesey ho juda mujhe se
ye rog he matti ka, aur sadiyo'n purana he..
basti hi chhupali, phir us shakhs ne hatho'n me
itna jo kaha me ne, ek shahar basana he
Ek aankh he sehra to, ek aankh samandar he
kia janiye iss Dil me kis kis ko samana he
kehne ko buhat kuch he, aey SAAD magar hum ne
Ek Waada nibhana he, ek dard chhupana he..
Send To Mobile
<<< Read Previous |
Read Next >>>