Ik zara si ranjish se,Khawab toot jatay hain bheer mein zamanay ki,haath choot jatay hain,dost daar lehjay mein
silwatein si parti hain,ik zara si ranjish se,shak ki zard tehni per
phool badgumani k is tarha se khiltay hain,zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain,ghair ban k miltay hain
umer bhar ki chahat ko, aasra nahi milta
khaamoshi k waqfon mein, baat toot jati hai
aur sira nahi milta
maazrat k lafzon ko, roshni nahi milti
lazzat e pazeerai bhi, phir kabhi nahi milti
phool rang waadon k, khawab toot jatay hain
manzilein sukarti hain, raah murnay lagti hai
be rukhi k gaaray se, be dili ki mitti se
faaslon ki eenton se, eent jurnay lagti hai
khaak urnay lagti hai
khawab toot jatay hain,
Send To Mobile
<<< Read Previous |
Read Next >>>