Matti Pe Tarapta Raha QURAN ka qari,
Aur mehv-e-tamasha khari Umat rahi sari,
Lagta hai k wo majma-e-Islam nhi tha,
Majmay mein khara koi Musalman nhi tha,
Mujrim hi sahi sahib-e-Imaan thay aakhir,
kafir b hon to phir b wo insaan thay aakhir,
Arsh-e-Bareen larza hai koi shor bapa hai,
MOULA ki adaalat mein kisi Maan ki sada hai,
Ro ro k falak kehta raha ehl-e-zameen ko,
Ye zulm gavara nai YASRAB k AMEEN ko,
Kis simt se ata hua Moula ka Qehar ho,
Kya ilm k kis hal mein is shab ki sehar ho,
Kehty huay thamti nhi ashkon ki ravani,
Iqbal tery dais ki galion ki kahani..
Dedicated to Innocent Brothers of Sialkot.
Send To Mobile
<<< Read Previous |
Read Next >>>