Best Collection of New Urdu Poetry SMS at Funny SMS
Looking For Urdu Poetry Sms? Latest Collection of Urdu Poetry SMS And Urdu Poetry SMS Messages Shayari SMS Messages, mohabbat poetry, pyar sms, for Shayari lovers. Urdu poetry sms: all about urdu shero, shayari. We bring this section for urdu poetry lovers.
This category contains Urdu Poetry SMS, which are not suitable to post in Urdu Friendship Poetry, Urdu Sad poetry, Urdu birthday poetry, Urdu Love Poetry. All Urdu Poetry sms messages here are in urdu language, Refering in roman Urdu script, It would be as urdu shayari SMS, Dosti shayari, Urdu pyar / mohabbat ki shayari SMS. Urdu SMS Message and Urdu Poetry SMS with a few Funny Urdu Poems SMS. Cute Nice Friendship Urdu Text Messages for best friends and Urdu Messges Romantic Love Urdu Poetries for lovers.
Latest Urdu Poetry SMS:
-
barso baad ye dua rang laayi hai
barso baad ye dua rang laayi hai,
wo mere kareeb itne kareeb aayi hai..
main ye kaise manloo ke ye meri wafa ka sila hai ,
usne to abtak ki sirf bewafai hai.....
thahar jaa e shaam mere aagan mein aaj,
barso baad to roshni mere dar par aayi hai..
kaise bayan karoo jajbaat apne dil ke,
kahte hue meri aankh bhar aayi hai....
nazar jaati hai janha tak bas wo hi nazar aate hai,
na zaane kyu use ye baat nazar nhi aayi hai..
naksh ubhar aaya mere sahib ka aate hi raat,
kyu khwabo mein bhi mujhe uski yaad aayi hai.
By:
musarat
Send To Mobile
-
Tujhay aayaa na jo falak choonay ka
Tujhay aayaa na jo falak choonay ka andaaz Gunaah bana di gayiN parvaazaiN meri Ab mera qasoor hai kya teray ahsaas ki ghurbat Jo dabaatay ho balaNd aawaazaiN meri? Jab tu mehfiloN maiN ho mast firta tha Karti thi meri umr tanhaaioN maiN riyaaz Jab tu laga raha tha beparvaah qehqehay Samajh raha tha tab maiN khyaaloN kay andaaz
Mainay ik ahud pay jiayaa hai zeest ka lamha lamha
Tunay tab jisay janooN ka naam diyaa
ZameeN jisko samajh na paayi
AasmaaN nay uska ahatraam kiyaa
Teray rutboN ki nahin ab koi kashish baqi Samjhay to yeh bhi hai ik kamaal-e-phun mera Jo bus riwaayutoN maiN dhal kar kay banay NahiN ab woh mozu-e-sukhan mera
MaiN to khwaaboN kay geet banaauNga
Aur wusat-e-afqaar say sajaauNga
Tujh maiN himmat hai to aa jaanaa
Warna akaylay hi gungunauNga
By:
musarat
Send To Mobile
-
tu hi nazar k samnay aesa laga mujhy
tu hi nazar k samnay aesa laga mujhy.
har shakhs tere sheher ka apna laga mujhy.
pholon say zakhm khaye to kantey haseen lagey.
ye tajruba hayaat ka acha laga mujhy
kehta raha jo sheher main mil kar raha karo.
wo shakhs khud qareeb say tanha laga mujhy.
har cheez tere sheher ki mehngi lagi maagar.
insan tere sheher ka sasta laga mujhy.
By:
musarat
Send To Mobile
Submit Your Comments: