Best Collection of New Urdu Love SMS at Funny SMS
A large selection of lovely, romantic, cute, sweet poetic & friendly texts. To send
urdu love sms to your close friends & loved ones. Send good morning loves sms, love poems sms,love poems, love quotes, funny sms, romantic sms, naughty sms, miss you sms, love sms text messages, hate you sms to your soul mates. You can also
submit urdu love sms here. Collection of latest Urdu Poetry and many more. Here on this page you will see the detail of Poetry in urdu. It contains a large collection of very nice Poetry in Urdu, Keep on visiting the site for more latest and nice love Poetry.
Latest Urdu Love SMS:
-
Koi lamha bhi kabhi laut
Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya
Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya
Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya
Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya
Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya.
By:
Amjad Islam Amjad
Send To Mobile
-
Apnay ghar ki khirkee
Apnay ghar ki khirkee se main aasman ko dekhon ga
jis par tera naam likha hai , us taray ko dhoondon ga
tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehleez pe rakhna
main bhi roz aik khwab tumharay shehar ki janib bhaijon ga
hijr k darya main parhna lehron ki tehreerien bhi
pani ki har satar pe main kuch dil ki baatien likhon ga
jis tanha se payre k neechay hum barish mein bheegay thay
tum bhi usko chhoo k guzarna, main bhi us se liptoon ga
khwab musafir lamhon k hain , saath kahan tak jaien gay
tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon ga.
By:
Amjad Islam Amjad
Send To Mobile
-
Mohabat k mausam
Zamanay k sub mausamon se niralay
Bahar-o-khizan in ki sab se juda
Alag in ka sokha alag hai ghata
Mohabat k khit'tay ki aab-o-hawa
Mawra hai un ansir say jo
Zamanay k taghayyur ki bunyaad hain
Ye zamaan-o-makaan k kam-o-besh se
Aisay aazad hain
Jaisay
Subh-e-azal jaisay shaam-e-fana
Shab-o-roz-e-aalam k ahkaam ko
Ye mohabat k mausam nahi maantay
Zindagi ki musafat k anjaam ko
Ye mohabat k mausam nahi mantay
Rifaqat ki khushboo say khali ho jo
Ye koi aisa manzer nahi dekhtay
Wafa k ilawa kisi kam ko
Ye mohabat k mausam nahi mantay!
By:
Amjad Islam Amjad
Send To Mobile
Submit Your Comments: